” How to Secure Gamil account ? ” kya Ye Question aapke dimag me kabhi aaya hai ? agar aaya hai to best, kyuki aap apane Gmail account Gmail Account Safe and Secure rakhne ke liye soch Jarur rakhte hai.
kya aapko nahi lagta hame Gmail account ko hacker se bachana chahiye ? Gmail account ki security ke tips ko follow karna chahiye ? koi bhi aapka account hack kar sakta hai. personal details ko chura sakta hai.
Koi Bhi Internet User Gmail Account ka Use kiye bina Nahi rahta. Online working Me hame har pal Gamil Account Ki jarurat Rahti hai. Gmail se Hi ham sabhi website , online Services Ko access karte hai. koi bhi website pe ya social media site pe account create karne ke liye email account ki jarurat hoti hai. google ka gmail services hame free me mil raha hai. is vajah se 80% log gmail use kar rahe hai. fir hame GMail Account Safe and Secure rakhne ke liye bhi sochana chahiye.
How to Keep Safe Gmail Account In Hindi
HindiHelpguru ne Aapke Liye Is Article me Gmail Account Safe and Secure rakhne ke top tips provide Kiye hai Ise jarur Follow Kare.
Gmail Account Safe and Secure :
Use Strong Password :
gmail account ka Password strong hona jaruri hai. nahi hai to aaj hi change kare. strong Password Generate karne ke Kuchh suggestion dekhe.
# 1. Use Capital And Small Word ( Password)
#2. Always Use Numerics Word ( 1-9 )
#3. Always Use Any Special Character ( @#*)
#4. Always Use Minimum 8 Character Password
Don’t Share Your Email And Password:
Agar app Kisi ko ( friends ya other ) Email Aur Password Batate hai to app Bahut bada GMail Account Safe and Secure Risk Le Rhe ho. Kaam Kitna Bhi Important Kyu Na Ho Apko password kabhi kisi ke share nhi karna chahiye.
agar share karne ki jarurat aaye to bad me password change jarur kare.
Logging Out :
jab bhi aap gmail account ko login kare tab ye yaad rakhe ki log out karna na bhul jaye. agar aap dusari jagah , dusare computer ya Mobile me account log in karte hai to Gmail Account Safe and Secure rakhne ke liye log out karna bahot jaruri hai.
Check Login Report :
Google Aapka Gmail Account kab login hota hai, Kis Devise me Log in Hota hai. isaka Ip Address, location sabhi recard karta hai. aapko agar koi Doubt lage to lohin details ki jankari gmail footer me mil jayegi. click karke dekh le.
vahan se aap account activity details check kar sakte hai.
- ye bhi Padhe : Android App PC Software me kaise chalaye
Turn On Two Step Verification:
GMail Account Safe and Secure Rakhne Ke Liye Two Step Verification bahut Important Tool hai. Google account ko Jab Hum Log-in Karenge to Hmse Two step verification Karke Ki Jarurat Padegi Tab Hi Hamara Gmail (Google) Account Puri Tarah SE Login hoga.
Read More : what is google account Two Step Verification ?
Check Attachments File :
aapke Gmail me daily kai email aate honge. mail ke sath me file, links-url bhi hogi. ho sakta ye files , url addess me virus ho. malware ho sakta hai.
vaise to google gmail me scan features incoming and outgoing attachments files ke liye anable hota hai. fir bhi click karne se pahle aapko alart kiya jata hai. ise Review karke hi aage badhe.
Use Separate Password :
kai bar ham ye galti karte hai ki hamare gmail ka password koi bhi website me account banane ke liye use kar dete hai.
aapko ye samajna chahiye ki koi bhi website me account banane ke liye gmail manga jata hai. isaka matlab ye nahi hai ki password bhi gmail ka add – use kare. GMail Account Safe and Secure rakhne ke liye aapko dusara Separate password use karna chahiye.
Update Recovery Info :
jab bhi google – gmail account ka paasword lost ho jata hai tb aap ise recover kar sakte hai. gamil ka naya password Generate kar sakte hai.
iske liye aapko gmail account ke Recovery email, mobile number ko add karna chahiye. ise time to time change bhi kar lena chahiye.
Recovery Info se aapka GMail Account Safe and Secure rahega. koi gmail password generate karne ka try kare fir bhi aapke gamil account ko login nahi kar payega.
Check https:// & http://
gamil security ke liye aapka gmail account https:// se Open ho raha hai ya nahi ? check kare. kyuki htpps:// se open hone wali site secure mana jata hai. agar https:// se open na ho raha hai to aap browser me jake stup kar sakte hai.
Extra Security Tips :
Isake alava kuchh tips hai jo Aapka Gmail Account Safe and Secure rakhne me help karegi.
- free Internet ya public wifi me gmail login na kare.
- aapka Gmail account daily log in karke check kare.
- gmail me aanewale spam mail ko block kare.
- spam mail ki koi file ya link pe click na kare.
- extra un useful email ko delete kare.
- Article ko social media me friends – family ke sath share kare.
bro help me.my account ko hack karliya koyi.me kaya karu mure pss pass only us account ka sim crd hi hai or email id but password bhul gayi…
Agar Aapka Gmail Account Hack Kar Liya Gaya Hai to Aap Kuchh Nahi Kar sakte. Kyuki Isane Account Ka Mobile Number Change Kar Diya Hoga. Agar Aap Password Bhul Gaye Hai to ye Padhe : Gmail Password Kaise Pata kare.
bro maine sim liya tha or starting me net mast chalta tha downloading bhi theek achchi hoti thee or yar aj karib 10 din hone ja reh h speed boht bekr ho gai hai ab speed 3g ki bhi nhi ati kisi kisi time net boht bura chlta h or maine starting me achchi downloading krlib 19gb kr chuka hu but ab bekr hogi speed bro plzzz help me mai kiya kru??
kai friends ko ye problem aayi thi. ye reliance ka problem tha. halaki ab sab thik ho gaya hai.