Android App PC Software me kaise chalaye

-

Android Smartphone Ne hame Kai Future Provide Kiye hai. jo kam ham PC Me nahi Kar Sakte wo Sabhi Kam Android Mobile Me kiye jate hai. Mobile Android Application hame sabhi tarah Ki services Provide Karti hai. but kabhi ham PC me work karte hai to mobile ko handle nahi kar pate. tab ham sochte hai ki kya android Ko PC me Chalaya Ja Sakta hai. ? android application ko pc me Download karke Kaise chalaye ? whatsapp Facebook ko pc me chalane ka Software kaise Download kare ? Is Article me Android App PC Software me chalane ka Tarika Bataya Gaya Hai.

jab se android Mobile phone aaye hai tab se Ise computer me chalane ke Kai Tricks Bhi available huye hai. Isase Aap Android APK PC Me Run Ho sakti hai. Android Aap PC Me ya Laptop Me chalane ke Kai emulator bhi Aap Free Download karke pc connection kar sakte hai. ye sabhi android App On PC Ke Software windows xp, windows 7 ( 32 bIT, 64 bIT ) , windows 8 pc suite ho sakte hai.

Useful Article : Android Mobile Format Kaise Kare ? Hard Reset Tricks

lekin mai Aapko Best Android App PC Software ke bare me bata rahahu. Jisaka Name Hai ” BlueStacks App Player ” Isase aap Computer me Android App Install kar sakte hai, chala Sakte hai.

Android App PC Software

BlueStacks Kya hai ?

  • BlueStacks Ek windows Software hai Jisase aap Apk File Ko PC Me Run Kar Sakte hai.
  • Android apps PC me chalane ke liye market me jitne bhi software available hai unmen se Bluestacks sabse popular hai.
  • Yeh software Window aur Mac dono ke liye available hai.
  • Bluestacks jadatar sabhi android apps ko software ko support karta hai.
  • ye Android App PC Software ke duniya me 130 millions+ users hai.
  • Bluestacks software bilkul free me uplabdh hai.
  • free version me yeh software sponsored apps ko apne aap aapke system me download kar deta hai.
  • Bluestacks ka ek premium version bhi hai jiski cost $2/month hai.
  • Premium version me sponsored apps apne aap install nahi honge.
  • ye Sabase Best Android App PC Software hai.
  • Ye Bhi Padhe : 1 Mobile Phone Me 2 Whatsapp Chalane ka Tarika

BlueStacks Android App PC Software kaise Install kare.

BlueStacks installation Full Guide – Step bay Step Hindi Me .

1. ye Software BlueStacks ki Official Site Pe Aapko Free Me Download Kar Sakte hai.
2. Sabase Pahle BlueStacks Website Pe jaye.
3. Download BlueStacks ka Option Milega Ise Click kare.
4. Click Karne Par automatically Downloading Shuru Ho jayega.
5. bluestics 307 mb exe file download hone ka Wait kare. Jyada Time Lagega.
6. PC me Download File Pe Double Click Kare.
7. ” click to run exe file ” pe click kare. program – Software Ko Run Kare.
8. shayad yahan Aapko BlueStacks installation Problem – Error aa Sakti hai.
9. Is Problem Ko Solve Karke Hi aap ye Android App PC Software Install Kar Payenge.
10. agar aapke system me Microsoft Dotnet Framework install nahi hai to aapko install karne ke liye kaha jayega.

11. Downloading and installing Microsoft Dotnet Framework.
12. Microsoft Framework Downloading Me Time Lag Sakta hai.
13. install hone ke bad computer ko restart karna hai.
14. ab aapko popup me welcome to bluestacks dikahi dega.
15. Next pe click kare.
16. ” select bluestacks data ” location select kare. ( app program data select rahane de. )
17. next pe click kare. aur install pe click kare.
18. ab bluestacks install hoga. Ho jane Ke bad Finish pe click kare.
19. ab app loadings hogi. top me android pe click kare.
20. yaha aapko Kuchh Android App Dikhai Degi, jo Bluestaks Android App PC Software me Run Hoti hai.
21. aap Ise Click Karke Download Kare. Aur PC Me android Aap Chala payenge.

Useful Software : Top 10 Free Photo Editor Software and Online Tools

Note : 

aap Apane Computer me se bhi APK File Install kar Sakte hai. isake liye mobile app Data Ko Pahle PC Me transfer Karna Padega.Aapko Google Account Log in Karna Padega tab Aap Play Store Se App Download Kar Payenge. Isake Liye Aap One Time Setup Kare.

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

22 comments

  • ASHOK

    sir, without bluestaks ke software dounload ni ke sakte kya windows 7 me..

  • Birbahadur god

    Sir mera Windows 7 32bit hai Usame 1 GB RAM hai Usame bluestack install Nahi ho raha hai please hame bataye Esme kaise install Kare

  • Md Hasibullah Khan

    Hello sir mai aapas puchha chahata hu ki software engineer banane ke liye lagbhag Kitna Paisa lag sakta hai.?

  • Mukesh

    Sir main android app me jo browses jo lekha kar aata hai us se install bluestocks me karta ho thoda sa install hota hai phir stop eroor hota hai

    • HindiHelp Guru

      Aapke PC Me Ram – Hard Disk Memory Kam Ho Sakati Hai. ya Fir Bit Problem Ho Sakati Hai.

  • Abhimanyu

    Sir mere laptop me bluestack 2gp physical memory mang raha hai to kya kare

    • HindiHelp Guru

      bluestack install karne ke Liye space chahiye. nahi hai to try na kare.

  • Ranga shab

    sir dot net 4.5 ya usse high downloaad krne ka link de do ….
    blustack install me problem aa rhe h ….ek baar start hone k baad ……khta h…
    your machine does not have dot net 4.5. or highr…plse help sir…

    • HindiHelp Guru

      Aapne Computer Ka RAM kitana Hai. Ram Kam Hone Ki Vajah Bhi ho sakti hai. ya fir aap Kahi se Bluetack ka Oldversion Download kar le.

  • shaikh navid

    sir mere pc me internet exlor nahi or chrom bhi nahi h download kaise kru

  • pratik

    pc mein play store kaise load karein

    • HindiHelp Guru

      agar aapne yahan bataya software install kar liya hai. to ismae aapko mil jayega.

  • Sarwesh pashwan

    Mera blue stack 12mb ka hai bahut slow kaam karta hai 20 25 mb ka game nahi chalta hai

    • HindiHelp Guru

      Aap Full Version Updates Kar Lo.

  • Ankit Rajpoot

    Bluestack install nhi hota file is corrupt aata hai

    • HindiHelp Guru

      Aap Bluestack Ki Website Se Hi Download kare.

Leave a Reply