Exam me Good handwriting ka mahatva

-

Handwriting  yani Likhavat Kisi bhi Student ki first Impression hoti hai. Handwriting se kisi bhi person ki Recognise malum ho jati hai. sabhi school student likhavat ki or dhyan dete hai. kyuki kisi bhi subject me jyada Marks aur Percentage improve karne ke liye Good Handwriting ka hona jaruri hai.

Is Article me aapko study me Handwriting ka kya mahatv hota hai ? Benefits of good handwriting In Hindi me bataya gaya hai. Ise padhke aap sure apani good handwriting ke bare me pryas karenge.

Handwriting ki jarurat kya hai ?

  • Language ka Growth communication ke karna badha hai.
  • vicharo ke adan-pradan ke liye wrinting jaruri hai.
  • kisi bat ko dusare tak paunchane ka Medium writng hai.
  • bhale hi aaj ke jamane me ham mobile , computer – laptop ke keybord ka use karte hai. likin jab school exam hame Handwriting se hi deni padti hai.
  • hamare desh me abhi tak Online exam ka silsila shuru nahi hua hai. isame abhi bahot time baki hai.
  • jab aap bank, office me jate hai. aur aapko kisi kam ke liye apply karna hai to aapko application Handwriting me hi deni padegi.
  • Online apply karna start ho gaya hai but sabhi jagah ye available nahi hai.

Isliye aapko kahi na kahi Handwriting ki jarurat padegi hi. isake liye aapki good Handwriting bahot jaruri hai.

Handwriting importance in Education :

halaki ham yaha school , collage student ke bare me bata rahe hai. kyuki Internet ke samay me bhi hame exam to good Handwriting se hi deni hai.

1. First Impression :

agar aap school me padhai karte hai to aapko malum hoga ki achhi likhavat vale student aage hi hote hai. aisa hi nahi hai ki wo student sirf exam me hi clean Handwriting karte hai. lekin teachers bhi aapki good Handwriting ke Impress hote hai. aise student ko exam ke alava bhi external marking jyada Mil Jati hai.

2. importance of Language Subject :

Aap Jab SSC ya HSC ka Result aata hai tam mark kare ki sabse jyada student kis subject me mar kha jate hai. in sab me language hi aisa subject hoga jo mahare all Percentage ko kha jati hai. is vajah se ham exam me top nahi aa pate.

Kisi Language ka Subject Good Handwriting pe depend karta hai. aapko sabhi question ke answer pata ho fir bhi aap best result nahi la sakte. aapko achchhi marking nahi mil pati.

universitys aur education exam board guidelines bhi aapki likavat agar galat hai to lamguage me aap sahi hone ke bavjud marks nahi la pate.

Ye Bhi Padhe : Online Education Kya hai ? Hindi information

For Example :

agar Koi question ka answer aapko pata hai. aapne exam me likh diya. usake 10 marks hai. aapne sahi likha hai, fir bhi aapko sirf 5 – 6 marks mil sakte hai. kyuki aapki Handwriting achhi nahi hai. Examiner aapke answer ko puri tarah padh hi nahi paya hoga. agar aapki Good Handwriting hai to aapko 8-9 marks mil sakte hai.

agar aap english, hindi, gujarati, marathi, Urdu ya fir aur koi Language padh rahe hai. to aaj se good Handwriting skill Improve  ke liye prayas karne lage.

3. Confused for examiner or Teachers :

Exam Result Ke bad aap ye Saval jarur karte Hai . ” yaar maine to ye sab sahi likha tha fir bhi na jane kyu sir ne kam marks diye. ” ( sahi Pakda na ..!! ) ye problem aapke Handwriting ki bhi ho sakti hai.

Benefits of good handwriting :

Example :

  • agar aapko ek saval ke javab me ” खाई ” word Likhna hai.
  • aap aise Likh te hai : ” रवाई “
  • ab bolo Teachers Confused ho Jayenge na.. ? Isliye school Study karne wale student ke liye Good Handwriting Ki bahot Hi Jarurat hoti Hai.

Student Useful : Gandhi Jayanti Quotes Hindi swachata diwas Slogans

4. Effect to Exam Result & Percentage :

Aap Kitane Bhi Intelligent Student Ho agar aapki likhavat Bed hai to aap Exam Me Top Nahi Kar Sakte. isake Liye Ye Example Dekhe :

                       Student : 1                     Student : 2 
     Subject  Marks  Subject   Marks
Social Science86Social Science86
Mathematics90Mathematics88
Science91Science80
Gujarati46Gujarati79
English62English81
Total    375 /5    414/5
Percentage       75%    82.8%

Ab Aap Khud dekhe Language Subject Ka Jadu. student 2 ne jyada Percentage mil rahe hai , kyuki usaki good Handwriting ne usaka sath rdiya.

sochiye agar Is Student 1 ne language ( Gujarati & English ) me 80-85 marks mile hote to situation kya hoti ?

Extra Inning :

Friends Mai Ek Teacher Hu. aur Teachers aur student ki confusion ko samaj sakta hu. aur mai ye sab apane experience ke aadhar se bata raha hu. halaki abhi aapko OMR method Kuchh had tak help kar rahi hai. lekin sabhi jagah – sabhi school me ye nahi hota hai. isake liye aapki likhavat achhi nahi hai to app aaj se good Handwriting ke kam me lag jaye mai aapki puri Help karunga. Isake Bad mai Handwriting Tips In Hindi Me Aapko Denewala Hu.

aap HindiHelpguru Facebook Page Like kare. aur ham se contact kare.
Daily New Education Tips Ke Liye Email Se Subscribe kare.
Aapka Koi Bhi Saval Ho to Comment Me jarur bataye.

Next Read : Net Banking Kya Hai ? Isse kya kar Sakte hai ?

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

2 comments

  • Chandraprakash kumar

    Handwriting kaise achha bnaye

    • HindiHelp Guru

      Handwriting – writing Skill ko improve karne ke liye kai Upay hai. axar sudharna ke sabhi tarike yaha batana mumkin nahii hai. mai Isake Liye Jald Best Courses – Article Dunga. visit karte Rahe.

Leave a Reply