how to stop windows update in progress in Hindi. Kya Aapko Malum Hai aapka Windows XP, Windows 7, Windows 8 aur Windows 10 Automatic Updates Hota Hai. Is Updates Ki Jankari Tab milti Hai Jab Hamara Bahot Sara Net Cut Jata Hai Aur Hame Malum Hai Nahi Hota. Aapko Lagata Hai Ki Internet Speed Slow ho Gayi Hai. but Hota Ye Hai ki Aapki permission ke Bina Bahot Kuchh Software, Driver Download aur Updates Hote Rahte Hai. Aapko Ye Windows Automatic Update Future Pareshan Kar deta Hai. Jab Aap Computer ko shut down karte Hai tam aapko Download Ho gayi Files ke bare Me pata Lagta hai. Aapko In sabhi Updates Ko Install Hone Ke Liye wait Karna Padta Hai.
Windows Automatic Update Kyu Stop Kare.
- Aapke Computer Ke Liye jaruri computer programs Aapne Pahle se Hi Download aur Install Kar diye hote Hai. Fir Aapko Ise Updates Karne ki ya Install Karne Ki Jarurat Nahi Hoti Hai.
- Windows Automatic Update Hota Hai Tab Bahot Sara InterNet Kharch Ho Jata Hai.
- Ye Sabhi Updates Download Ho Ke RAM ki Speed Ko Slow Kar Deta Hai. disk space low ho jata Hai.
- Kai Bar Without urgent kai programs Aapke System Me Aa Jate hai8.
- computer start and shut down hone me bhi problem hoti hai.
Windows Automatic Update Ko Stop Kaise Kare
Yadi apke computer me bhi windows automatic update hota hai aur aap isse pareshan hai to windows automatic update ko disable kare. Step by step jane kaise windows computer me Windows Automatic Update Stop kiya jata hai.
how to stop windows update in hindi
Yahan Aapko Bataya Gaya Hai ki Windows 7 and windows 8 Users kaise automatic update stop kar sakte hai.
- Sabse pahle START option par jaye.
- Phir Control Panel open kare.
- bad me System and Security par tap kare.
4. Turn automatic updating on or off me jaye.
5. Never check for updates ko select kare.
6. Ok option par tap kare.
7. Windows 7 and 8 me automatic update disable ho chuka hai.
Importent Note :
Ab Aapke Computer me Windows Automatic Update Stop Ho gaya Hai. matlab Ab Aapke System Me Koi bhi programs, Driver, Software Automatically Updates Nahi Hoga. Isaka Ek disadvantage bhi Aapke Computer Programs Me New Version Aaya hai to Aapko Nahi Milega. kai Bar Driver Version Bhi Updates Hote Hai to Aapko Ye Updates Nahi milegi. kyuki Aapne Windows Automatic Update Disable Kar Rakha Hai.
Agar Aapke Computer Work Me Koi Problem Aata hai to ho sakta Hai. aapne Updates Ko Stop Kar rakha Hai. to Aap Ise Enable Kar de. ya Fir Windows Updates Ko check Kare Aur Jaruri Updates Install Bhi Kare.
Ye Bhi Padhe :
Windows Updates Check Kaise Kare ?
kai Bar Aapka Computer Slow Ho Jata hai. Ki Programs Run Hone Me Problem Aati hai. not responding Error ya Driver Problem Aati Hai. tab Hame Windows Updates Check kar lena Chahiye.
- Sabse pahle Start Me Jaye.
- Control Panel Open Kare.
- Phir System and Security par Click kare.
- Windows Updates option Me ” Check For Updates ” pe Click Kare.
- Ab New Page Me Check For Updates Ka Button Dikhai Dega. Ise click Kare.
- Kuch der Bad Aapke Computer Ke Liye Jaruri Updates Dikhai Degi. Aapko Jo Jaruri Lage Updates Kar Le.
HelpFul Article :
Windows Automatic Update Enable Kaise Kare ?
Jis Step Ko follow Karke Aapne Windows Automatic Update ko Disable Kiya Tha Is Step Ko follow Karke Aap Updates Ko Enable Bhi Kar sakte hai.
Windows 7 aur Windows 8 Dono Me Updates Ko Enable aur Disable Karne Ka Process same hai.
Agar Aap Windows 10 Use Kar rahe Hai aur Windows Automatic Update disable aur Enable Karna Chahte Hai to windows 7 or 8 ki tarah hi Step ko Follow Kare. Isame Koi Jyada Far nahi Hai. Aapke Option Dusari tarah Dikhai Denge.
Jarur Padhe :
Extra Inning :
Is Tarah Aap Windows Automatic Update ko Stop yani Disable aur Enable Kar sakte Hai. windows 7 windows 8 aur windows 10 Ke Liye Aapko Step By Step Hindi Me Jankari Di Hai. Fir Bhi Koi Problem Aaye to Comment Me Jarr Bataye.
Daily Updates aur Latest Tricks Tips Ke Liye Hame Email Se Follow Kare.
HindiHelpGuru Fb Page like Jarur kare.
Mene kal window kr wai hai pc me market se 500 me thk hai leken wohi options ara hai explorer has been stopped
Khoi bi chez option nhi hore my cumputer or aik do software kch bi open nhi bar bar yhi ara windows explorer stopped
Khoi hal he uska safe mode kia to kch maza nhi ara from Pakistan
Control panel se applications uninstal nhi ho raha kya karu
drive C > Program file se remove kare.
SIR WINDOWS UPDATE NAHI KARNA CHAHE YA NEVER CHECK FOR UPDATES KAR DE TO WINDOWS URNE KI PROBLEM TO NAHI HOGI
nahi hogi. jab aapke pass free time ho ek sath sabhi updates ko install kar lena.
Sir ish year ki sabhi aaps Jo download ki ti vo sab uninstall ker di fir bhi net ka data Bina work kiye hi khatam ho rha hai vahi speed SE……plz help
Aap keyboard shortcut (CTRL+SHIFT+ESC) press karke task manager me jaye. isame app history me jaye. yahan aap dekh sakte hai ki kis software me jyada data use ho raha hai. bad me aap Is Link Me Bataya Setup Kare: Data Stop
Ok sir…….mere system me antivirus nhi ta abhi online vala 360 vala antivirus download kiya….antivirus nhi hone ke karan to nhi ho rha h na
Nahi Antivirus Ka Koi Problem Nahi Hai.
Mera windows 10 hai our isme bhi vahi problem hai per isme control panel me system and security ka option nhi h kya karu
Windows 10 me Settings disable hota hai. Ise Allow Karna Padta Hai. Bad me aapko system and security ka Option show hoga. Ye process Long hai to mai comment me Nahi bata Sakata. Aap Google Me search Kare. ” windows 10 how to automatically updates stop hindi ” aapko videos aur Dusare article mil jayenge.
Sir Windows update off kerne ke badh bhi data utni tezi SE khatam ho raha hai. 30 minute me 1 GB data khatam ho ja rha h.vo bhi bina koi work kiye hua..kya karu sir.
Apane Koi Software Install Kiya Hai. wo Data katam karraha hai. control panel me add – remove software me check kare.
Dekha sir kuch nhi dikha me bahot paresan hu plz help me
bhale hi aapko kuchh nahi dikhai diya ho par kuchh na kuchh jarurUpdates Ho raha hai.. Aap kuchh din waite kare. jab updates ho jayega. koi problem Nahi Rahega. aapane in 1 month me jo bhi Software Online Download Kiya Hai Ise Delete kar de.