Mukta Hasta Sirsasana (Hands Free Head stand ) Kaise Kare ?

-

Prachin Samay se yoga aur yogasan Hamari sansriti me Hai. Hamare rushi muniyo ne bhi Yoga ke benefits bataye hai. Aajkal Yoga Popular hota ja raha Hai. yoga Se na shirf body ko fayda hai. Mind Bhi fresh ho jata hai, Kai rogo ka ilaj Bhi yoga ke Pas hai. Aaj ham Aapko Yogasan ke Mukta Hasta Sirsasana (Hands Free Head stand Pose) ke bare me Batane ja rahe hai. Sath hi Isake fayde bhi bata rahe hai.

Mukta hasta sirasana kya hai ?

Mukta hasta sirasana ek aasan hai aur isko Sanskrit me translated kiya gaya hai Hands Free Headstand Pose se. Is asana ki sabse jyada khaash bat ye hai ki isse aapko bahut energy milegi. To aayie jante hai iske faydo ke bare me.

Sirasana me Kis bato ka Khayal rakhe ?

  • Aasan ko khuli jagah par kare.
  • Mat ka use kare, baithte time.
  • Aasan ko dhyan se kare, har ek point ko follow kare.
  • Jab aapko lage ki aasan galt ho raha hai to wahi chhod de.
  • Agar aapko padh kar samajh na aaye to humne niche ek video daali hai, us video ko dekhe aur kare.
  • Agar kisi bhi type ki injuries aapko aati hai to hum iske responsible nahi hai.
  • Mukta Hasta Sirsasana kaise kare ke ? ke sabhi step Ko Puri tarah Samaj le.

Mukta Hasta Sirsasana Kaise Kare ?

Mukta Hasta Sirsasana (Free Hands Head Stand)

agar Aapne ye Aasan (Free Hands Head Stand ) Karna Soch liya hai. to Sabase Pahle ye Step by Step prossece ko Samaj Le. Click Here To All Step images

  1. Sabse pahle Downward Dog Pose me aajaye.
  2. Ab aapko karna kya hoga ki apne sir ko jamin par touch kare aur puri body part ko ek dum straight khada kare, sir ke bal par.
  3. Sir ke bal body ko straight karna aasan nahi hai kueki isme aapko balance ki jarurat hoti hai.
  4. Agar aap starter hai to aap diwaar (wall) se chipak kar practice kar sakte hai.
  5. Esa 40 se 1 minute tak kare fir normal postion par aajaye.
  6. Mukta Hasta Sirsasana karte samay Koi problem aa rahi Hai to Bich me Chhod de.

benefits of Mukta Hasta sirsasana

  • aasan aapke fear (dar) ko khatm kar dega.
  • Ye aasan aapme concentration lata hai.
  • Ye aasan aapke mood ko humesha acha rakhega.
  • pituitary and pineal glands ko uttejit karta hai.
  • lungs yani Fefdo ko majbut karta hai.
  • digestion Improve hota hai. ( pachan Me sudhar )
  • enhance connection to your inner self.
  • Asthma, infertility, insomnia, and sinusitis ko aapko relief karta hai.
  • Aapke blood circulation ko acha rakhta hai.
  • Mukta Hasta sirsasana se Digestion system acha hota hai.
  • Lungs ko majboot banata hai.

Extra Inning :

Friends, Ye asan Tips aapko Kaisi Lagi Comment Karke Bataye . Free Hands Head Stand ke fayde apane Friends ko Bhi share kare. koi Saval hai to hame bataye. Mukta Hasta sirsasana ke Is Article Ko Share Karna Na Bhule. Daily new tips ke liye HindiHelpguru Fb Page Like Kare.

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

2 comments

  • shweta

    hello sir

    achha laga aapke content padhkar

    mujhe ye puchna tha ki hmaari website par food ka content to achha response deta hai lakin koi or topic par yadi ham content bnaate hai to wo achha response ni deta jabki mehant ham dono par barabar kar rahe hai

Leave a Reply