CBI Internet Banking Se Paise Transfer Kaise Kare

Paise transfer karne ke liye ab Bank – branch me jane ki jarurat nahi hai. badlte India me cashless System popular Hoti ja rahi hai. Agar aap CBI Internet Banking use kar rahe hai ya karna chahte hai to ye article aapko kuchh Help karega.

How to Online transfer Money From Central Bank Online Account to other Bank Account ? Step By Step Guide Hindi.

Central Bank Of India Apane Customer Ko Online banking , Mobile banking Ki Service De rahi hai. Isake Jariye Aap Ek bank Account Se Dusare Bank Account Me Paise transfer karna Chahte Hai to Easy Ho Gaya hai. CBI Internet Banking Aapko Money transfer ke Kai option Provide Kar raha hai.

Friend Central Bank Of India se anya Bank Account ya Other Account me Fund Transfer karne ke Liye aapke Account Jisase aap Paise Transfer karna chahte hai Isame Internet Banking Service Activated honi chahiye. means aapka bank Account CBI Internet Banking se Juda Hona Chahiye. So Friends Follow Some Simple Steps To Transfer Money to Other Account In Hindi.

How to Money Transfer Via CBI Internet Banking ?

1. sabse pahle Central Bank Of India Internet Banking Account me User Id aur Password se Login kare. Click Here >>

2. CBI Internet Banking Account ke Right Side diye gaye Fund Transfer Option me Add Beneficiary me click kare. ( Beneficiary ka Matlab Hota hai Jise Paise transfer karne hai wo. aur Isaki Details )

Note : jab aap pahli bar kisi person ke account me paise transfer karna chahte hai tab aapko iseke account ka details Beneficiary me add karna padta hai. fir kabhi is person ko paise transfer karna pade to ye details nahi add karni padegi.

How to add Beneficiary in CBI ?

3. Add Beneficiary me aapko Select Type CBI, RTGS, ya NEFT me se kisi ek Type ko Select karna hai.

Note :

  • CBI : Central Bank Of India to Central Bank Of India me money transfer karne ke liye.
  • RTGS : jayda paise transfer karne Ke Liye. ( Minimum Transacting Amount is Rs. 2 Lakhs )
  • NEFT : Other bank Mony Transfer ke Liye. ( No Minimum Transacting Amount Set )

CBI Internet Banking mony transfer guide

ab aapko niche batayi details add karni hai,

  • IFSC Code : agar aapko ye code malum nahi hai to Yahan Click kare.
  • Kisi Bhi Bank Ka IFSC Code Kaise pata Kare ?
  • Bank Name :
  • Branch Name :
  • Account Number :
  • Re – Enter Account Number ( fir Se Account NO. Likhe. )
  • Beneficiary Nick Name : name Likhe.
  • Full Name : Pura Name Likhe.
  • Beneficiary Address : yahan Usaka Pata likhe.
  • Pin Code : Pin Code Number Likhe
  • Beneficiary Email Id : email address – ID Likhe.
  •  Relationship : yahan Friend, Brother etc. likh sakte hai.

4. next aapko Summary Details Dekhi Degi. check kar le. Bad Me Submit Button pe click kare.

5. Submit pe click karne ke bad POP Up Window Open hogi. isme ” Grid Authentication Card ” me Bataye Code Code Ko enter karna hai.

6. Fir Submit Pe Click Kare. aapko ek Message Dikhai Dega. ” Grid Authentication was Successful. “

7. Ok Button pe click Kare. Aapne Submit Ki Beneficiary Acknowledgement Dekhai Dega.

Note : Aapko Is time Ek SMS Bheja Jayega : ” Dear Customer You Have Successfully added new beneficiary in the name of “—–“ Which will be activated after 24 hours. ” Matlab,  aapne CBI Internet Banking me add Ki beneficiary details 24 ghante me activate ho jayegi. bad me aap Money transfer kar payenge.

CBI Internet Banking Se Paise Transfer karne ka Tarika :

Ab CBI Internet Banking se money transfer karna easy Ho jata Hai. kuchh simple step follow karne padenge.

8. 24 ghante ke bad Fir se account login kare.

9. Fund Transfer Option me Other Account Transfer ya fir Other Bank Accounts pe click kare.

Note :

cbi se mony transfer karne ka tarika

10. Transfer Type, Bank Account, Beneficiary Select kare.

11. Amount Enter kare. Pay Now pe click kare. Remarks Enter kare.

12. Transaction Password dale. Accept Terms and Conditions pe Tick karke submit kare.

13. Confirm Button pe click Kare. ab popup windows Open hoga.

14. Grid Authentication Card ko enter kare. Grid Authentication Was Successful Message bhi milega.

15. Acknowledgement Of RTGS / NEFT Payments dekh payenge.

16. Don…!!! aapke paise CBI Internet Banking se transfer Hogaye Hai. Jise Bhi transfer Kiye Hai Ise 2 ghanto me Mil jayenge.

Extra Inning :

Isake alava Aap CBI Net Banking Ki Help Se Kai kam Ghar Baithe Kare Sakte hai. jaise

ATM – Debit Card Apply karna. ATM Password Change Karna. Bank Account balance,  Statement Dekhna. etc.

Aapko Ye Information Useful lage To Dusaro Ko bhi Facebook, Whatsapp Pe share Kare. daily New Updates – help pane Ke Liye HindiHelpGuru facebook Page Bhi like Kare.

6 Comments

  1. Shashnk

    Sir plz tell mujhe apne CBI account se khud k hi SBI k account me paisa transfer karna h. Mere pass koi internet banking ki facilty nahi h to kya mai kr sakta hu? Ya iska koi charge lagega??

  2. Bhai mai do din se benificary add or RHA hoo nhi ho RHA hai mobail app dvara
    please vearify ifsc ditail before adding benifery dikha RHA hai kya kroo btao

Leave a Reply