” How to Use *99# Banking Service In Hindi. ” *99# USSD Code Se Mobile Banking, Account Balance Check, Fund Transfer, Mini Statement Kaise Kare ? agar aap Ye soch rahe Hai to Aap Sahi Gajah aaye Hai. Kyuki HindiHelpGuru Ne Is article Me apane Simple Mobile Phone Se *99# banking service kaise activate or Use kare Isake Bare Me Hindi Me Bataya Hai.
Technology Ne Mobile Banking aur Net Banking Ke Jariye Bank Ko sabhi ke pas Pahuncha Diya Hai. ab Aap Bina Bank Gaye – Banking related Sabhi Work Mobile Phone Se – Android Smartphone Se kar sakte hai. Fund Trasfer, Bank Balance Check, Mini stetment Ye Sab Easy Ho gaya Hai. *99# banking service USSD Istemal Karne Ke Bare Me yahan Aapko Hindi Me Batay gaya Hai.
What Is *99# Service Kya Hai ?
*99# USSD banking service Bina Internet Code Se Kam Karne wala Banking System Hai. Isame Aapko Kuchh Code ka MSG Karna Hai Aur Aap kai Banking Kam Ghar Baithe Kar Sakte Hai. *99# ek USSD (Unstructured Supplementary Service Data) Code hai. Iska use mobile banking service ke liye karte hai. Aap apne registered mobile banking number se ye code dial karke mobile banking access kar sakte hai. Iss banking service ke liye internet ki jarurat nahi hai. Ye sabhi GSM service providers me support karta hai. Aur abhi tak 50+ banks iss ye *99# banking service apne customers ko offer kar rahi hai.
*99# USSD Banking Service Future in Hindi
- Ise service me internet ke bina bhi banking kar sakte hai.
- Ye ek code sabhi telecom service me work karta hai.
- Ek session me Rs 1.50 charges dena parta hai. Lekin roaming ka koi extra charge nahi lagta hai.
- Ye service sabhi mobile handset and network provider me support karta hai.
- *99# se banking kahi bhi kabhi bhi kar sakte hai.
- Ye service use karne ke liye kisi mobile application ki jarurat nahi hai. Aap ek simple
- mobile handset se bhi *99# banking service use kar sakte hai.
- Aap 24*7 days fund transfer kar sakte hai.
USSD *99# banking service Se Kya Kar Sakte Hai ?
- Account Balance (Bank Balance Check Kare .)
- Mini statement (Mini statemen Dekhe.)
- Send money using MMID (MMID se paise Transfer kare.)
- transfer Money using IFSC (IFSC se Paise Bejna)
- Send money using Adhar Number (Aadhar se Paise Beje.)
- Show MMID (MMID pata kare.)
- Change MPIN (MPIN change kare. )
- Generate OTP (OTP Generate kare.)
Also read : How to Activate SBI Mobile Banking in hindi
*99# banking service Kaise Istemal Kare ?
Is Service Ko Use Karne Ke Liye sabse pahle aapka Mobile Number Bank account Se Link Hona Chahiye. Agar Aapka Mobile Number Bank Se Link Hai to Aapko bank Ke SMS Milte Honge. to aap Bina Kisi registration USSD *99# banking service Istemal Kar Sakte Hai.
Agar Aapka Mobile Number Bank Khate Se Link Nahi Hai to Aap Apani Bank Me Jaye aur Apana Mo NO. Link Karvaye. MSG, ATM, Online Banking se Bhi aap Ye kam Kar Sakte hai. All Bank Mobile Number registration Ki details yahan Deni Sambhav Nahi Hai.
Read Also : Citibank Net Banking Activation Kaise Kare ?
*99# banking service USSD Step By Step
Ab Aap *99# banking service ke Liye Niche Diye Step Ko Follow Kare.
- Mobile handset me *99# dial kare.
- NUUP ( National Unified USSD Payments) ki taraf se welcome message ayega. OK press kare.
- Bank ke IFSC code ka start 4 letter type kare. Ya bank name ke start ka short name. Jaise State Bank of India ka SBI hota hai.
- Mobile screen par balance check, mini statement and fund transfer karne ka option dikhayi dega.
- Apko jo bhi check karna hai option select karke kar sakte hai.
- Ye Bhi Padhe : How To Find Banks IFSC Code – kaise pata kare ?
*99# Dial Karke Bank Account Me Money Transfer Kaise Kare
How to transfer money from one bank account to another bank account by dial *99#. ? Beneficiary account ko fund transfer karne ke 3 tarike hai. IMPS se money transfer kar sakte hai. IMPS me money turant transfer hota hai. Lekin iska limit sirf Rs 5000 tak hai. Aur *99# banking service se per transaction ka 25 paise charge bhi dena parega.
IFSC Code aur Bank Account Se Money Kaise Transfer Kare
- Iske liye apko ‘Fund transfer using IFSC code’ option select karna hoga.
- Beneficiary Account Number Amount, IFSC Code enter karna hoga.
- MPIN enter karke transaction ko complete kare.
MMID Se Fund Transfer
- *99# dial kare aur bank code enter kare.
- Fund transfer using MMID /MPIN select kare.
- Beneficiary ka 10 digit mobile number, MMID / MPIN, Amount enter kare.
- MPIN enter karke transaction complete kare.
Useful : All Bank Toll Free Number For Customer Care Contact
Aadhar Number and *99# se fund transfer kaise kare
- *99# dal kan k baad bank IFSC number enter kare.
- Phir “Fund Transfer using beneficiary Aadhaar number” option ko select kare.
- Jisko paisa transfer kar rahe hai uska aadhar number enter kare.
MPIN enter kare. - Beneficiary ke uss account me fund transfer ho jayega, jisye usne aadha number se link karaya hai.
Ye Jarur Padhe : Net Banking Safety kaise Rakhe ? 10 Security Tips Hindi
Fund Transfer Karne Ke Liye MMID Kaise Paye
*99# banking service se Fund transfer karne ke liye MMID pata hona bahut jaruri hai. MMID 7 digit ka hota hai, aur ye bank se provide kiya jata hai.
Isaki Hindi Font Me Jankari aur Images ke Liye Aapko Yahan Link Di hai vo Click Kare :
Is Link Se Aapko *99# banking service USSD Ki Sabhi Jankari Hindi Me Mil Jayegi.
Extra Inning :
Jarur Padhe :’ Mobile Se Bank Balance Check Kaise Kare?
Is Tarah Aap Apane Koi Bi Mobile se ghar baithe Bank ke Jaruri Work kar payenge. Aap SBI, HDFC, ICICI, BoB, Axis Bank, SITIBank, IDBI, Union… etc.. 51 Banks Ke Kam *99# banking service USSD Se kar payenge.
Aapko Koi Bhi bank related Problem Ho Comment Me jarur Bataye.
HindiHelpGuru Facebook Page Like Kare.
Sir Muze Vo Process Bata Dijie
Jisme Sms Karke Is Service Ke Liye Registred Ho Jate He
isaka matlab aapne is article me nahi padha hai. isame hi diya hai fir se padh lijiye.
Sir Mera no.bank se Link h phir bhi jab m,*99# dail karta hu to error 549 likha hua aata h*99# ki subidha nhi le paa rha hu
technical error ya fir network/connectivity issues ho sakata hai. tab error 549 aata hai.
Sir, Mere mobile me aur bank account me sufficient Balance hone ke bawjud Mobile me error aata hai ” Subscriber have insufficient balance ” Sir, mai ye bhi batana chahta hun ki keypad wala mobile me *99# ka use karke transaction karta hun. Isko thik karne ka kya upay hai?
Ho sakata Ahi aapke account me balance ho, lekin MOD me chala gaya ho. to ye problem ho sakti hai.
I have an account but I have not debit card then how I’ll create MPIN?
Ydi ek h mobile number do banks me rajistered ho to *99# ko Kaiser use kru
Aap #99 start kare. aapko Option Mil Jayega. isame IFSC code Add Karna Hota Hai to Jis Bank Ko Connect karna Chahte hai Usaka IFSC code Dale.
sir kya mere pas Atm nhi hai kya main *99# seva ka istemal kr sakta hu
Yes, Kar sakte hai. 899# Sevice Ke liye ATM Ki Jarurat Nahi Hai.
सर जी मै प्रथमा बैंक का यूजर हूँ
और मै जब भी*99# डायल करता हु तो
बहां पर बैंक का शार्ट नाम और ifsc code मागता है तो मै दोनों ही देता हु फिर भी आगे कोई msg या कोई अगला पेज नही खुलता है और यह मेरे ही no से नही बल्कि सभी यूजर के no से होता है
ho Sakata Hai aapka Bank Is *99# se Na Juda Ho.
sir atm card ke aakhri 6 number dalneke bad expired date dalni padti hai
lekin mere paas mastro card he aur isme upto date hoti hai to me kar sakta hu use
is Ise Use kar sakte hai.
Sir *99# par call karne par upi code mangta hai upi code create kaise hoga
jab aap *99# Ussd Use karte Hai tab Aapko 7th Number ka Option Set UPi Pin hota Hai is Option Ko use kare.
mere phone se bank ka short name nahi likha ja raha h
waha par sirf math keybord h
settings keyboard change karo.
I have registered my account by *99#. And I transfer money also, but now when I dial *99#, the message appear that ” subscriber have insufficient account balance “. Sir please guide me
check your Account Balance. Problem for low your account balance.
Hello,
I too have same problem.
I have already registered my account with *99# and also transferred money for several times. But now, when I dial *99#, it display a message “Subscriber have insufficient account balance.”
But, my account balance is not low.
So, please help on this.
Thanks.
Read this Article : USSD Problem Faq
mera mobile no. bank se ragistar hai lekin jab mai *99# ko dial karke bank ka name dalta hu to khata maujud nahi hai aa rha hai
Kya Aap Register Mobile se Hi *99# Dial kar Rahe Hai ? ho sakata Hai aapko Pata na ho ki aapne Kaun sa Mobile Number Bank Account Se Link Kiya Hai. ya fir Aapke Bank Account me Koi Problem Ho isliye Block kiya Ho.
sir mene Bank me mobile nomber link kara diya hai ab USSD /MMID code kaise milega Union bank ka account hai.
Article Ko Padho. Isame Sabkuchh Diya hai. aapo sirf *99# pe call karna hai.
(कार्ड की तिथि स्पेस मे लिखो)
सर इसके बारे मे कृप्या डिटेल से बताये।
Aapke Debit Card Me Isaki Valid Date Hoti hai Ise jagah Rakhakar likhna Hai. Example : SEP 2018