Whatsapp Group Ko Delete Kaise Kare ? How To Delete Whatsapp Group In Hindi. delete WhatsApp group permanently by admin. Whatsapp aur Facebook Dono Bahot Popular Social Media Hai. shayad hi Koi Android Mobile User Whatsapp Ka Use Na karta Ho. Whatsapp Application Use Karna Sabase Easy – Simple Hai. Fir Bhi Hame Lagata Hai ki Whatsapp Par Aap Kuchh Chije Control Nahi Kar Pate Hai. lagta Hai ki whatsapp messenger me Kuchh Changes Ki Jarurat Hai. example : Whatsapp Group Me Aap Admin hone Ke Bavjud Other Member Ki Post Ko Delete Nahi Kar Pate. aisi Hi ek Problem Hai ki Whatsapp group permanently Delete Kaise kare. kyuki permanently Delete Ka Koi Option Whatsapp Me Available Nahi Hai.
Is Article Me HindiHelpGuru ne do Option Bataye Hai. Jisase 1. whatsapp Group Exit and Delete Ho jata Hai. 2nd Option se Aap Whatsapp group permanently Delete kar Sakte Hai.
1. Exit And Delete Group Option
Member Ke Liye :
Agar Aap kisi Whatsapp Group Me member hai aur Aapko Lagata Hi ki is Group Se Exit ho jana Hai To Aap Is Option Ka Use kar Sakate Hai. Isase Aap Group Se khud Ko Exit Kar lete Hai. Exit Karne Ke Bad Aapko Delete group Ka Option Milta Hai. Delete Group Option Use Karne Se sirf Aapke Whatsapp App Se group Delete ho Jata Hai. Whatsapp group permanently Delete nahi hota Hai. not Possible delete whatsapp group without admin.
- Useful Article : Whatsapp Account Delete Kaise Kare ?
Admin Ke Liye :
Agar Is Option Ka Use Whatsapp Group Admin Karta Hai to Group Se Exit Bhi Ho Sakata Hai aur Group Ko Delete Bhi Kar Sakata hai. fir Bhi Whatsapp group permanently Delete Nahi Hota Hai. aur Koi Group Admin Nahi Hai to automatically Dusara member Group Admin Ban Jata Hai.
How to exit And Delete Whatsapp Group
Follow Step by Step:
1. Sabase Pahle Jis Group se Exit-delete Hona Hai Ise Tap Kare.
2. Group Name Ke Right Side Me 3 Dot Dikhai denge Ise click kare.
3. Ab Group Info ko Tap ( click ) Kare.
4. member List Dikhai degi. Isame Scroll Down Karke Last Me Aaye.
5. Yahan exit Group Ka Option Hoga. ise tap Kare.
6. Ab Aap Group se Nikal Gaye Hai.
7. Ab Aapko Exit Group ki Jagah Delete Group Ka Option Milega, Ise Tap kare.
8. Ab Sirf Aapke Whatsapp App Se Group Delete Ho gaya hai. Sirf Aap Is Group se Bahar nikale Hai.
Whatsapp group permanently Delete kaise Kare?
1st option Se Whatsapp Group permanently Delete nahi Hota Hai. aap Khud Group Se remove – exit Ho sakate Hai aur sirf Aapke Whatsapp App Se group Delete Ho Sakata hai. Lekin Is Option Se Aap ” delete whatsapp group permanently by admin ” Kr sakte Hai. Ye Option sirf Group Admin Use kar Sakata Hai. Whatsapp Group Ko permanently Delete karne Ka Yahi Ek Tarika abhi Tak Hai. Ho Sakata Hai Bad Me whatsapp messenger Or Koi Option Provide Kare.
- Ye Bhi Padhe : Top 5 Whatsapp Future Ki Jankari. How to Use ?
How To Delete Whatsapp Group permanently by Admin?
1. Sabase Pahle Jis Group ko Delete karna Hai Ise Tap ( click ) Kare.
2. ab Group se Sabhi Member Ko Remove Karna Hai.
3. Remove Karne Ke Liye Group Name ke right Side Se 3 Dot Ko click Kare.
4. Member Ke Name Ya Mobile Number Ko Kuchh Der Select karke Rakhe.
5. Option Open honge isame Remove this Member Ka Option Select kare.
6. Is Tarah Group ke Sabhi Member Ko remove Karna Padega.
7. Last me sirf Aap ( admin ) Group member list me Rahega.
8. Ab Option 1 ( Jo Upar bataya hai ) Follow Kare.
9. exit Group Option se exit Ho Jaye aur bad me Delete group click Kare.
Is Tarah aap Group Admin hone Ke nate Group ke Sabhi member Ko remove Karne Ke bad Hi Whatsapp group permanently Delete Kar Sakte hai.
Extra Inning :
Whatsapp messenger Sabse Popular Hai But Isame Kai Aur Changes Ki Jarurat Hai. Jyadatar Problem whatsapp group Me hai. Friends Aapko Kai Aise Group Me Add kar Dete Hai ki Jisakai vajah Se Aapka Time Barbad hota hai. Itana Hi Nahi Kuchh Aisi Chije Bhi Group Me Aa Jati Hai Ki Aapko Ise Chhupana Padta Hai. Isake Liye Whatsapp Group Se Exit Hona aur Ise delete Karna Hai Behtar Hai. Aap Is Article Ko Follow Karke Kisi Bhi whatsapp Group Se Bina Admin Permission Exit Ho sakate hai.
Kai bar iasa Bhi Hota Hai Ki aap Koi whatsapp group Create karte hai But Kai Friends Hote Hai jo group ke rules ko Follow Nahi karte Hai. bar Bar Jarurat ke Bina group Msg Ke notification Aate Rahate hai. Tab aapko Whatsapp group permanently Delete karna padega. Isake Liye Aapko Dusara Option Use karna padega.
Whatsapp Group related Koi Bhi Sawal hai to Hame Comment Me Bataye.
Is Article Ko Share Karke Indias best tricks – Tips website Ko Support Kare.