Gora Hone ke Gharelu Nuskhe – Upay Hindi Me

Apani Beauty – ( सुंदरता ) ko Nikharna sabhi ko pasand Hai. Beautiful Look sabhi ko Pasand Hai. isliye ladke ho ya Ladkiya sabhi Gora – blonde Dikhne Ke Liye Kuchh Na Kuchh Tarike Ajmate Hai. apani Tvacha ko sundar banane ke Liye kai Tips follow Karte Hai. market me Bhi sabse Jyada Beauty Product hi Bikati hai. Face ke Liye kai Girls and Boys beauty cream ka Istemal karte Hai. kai bar skin Gora hone Ki Bajay Bigad Jati Hai. kuchh hi dino me gora hone ke upay chahte hai to yahan Hindihelpguru ne Kuchh Garelu chijo se Tvachaa ko gora banane ke Bare me Bataya Hai.

Is Article Me kuchh nature beauty pane ke liye natural beauty tips in hindi me Di hai. ye sabhi upay gharelu hai, matlam aap apane ghar se hi sabhi chijo ka Istemal Karke Gorapan aur Sundarta Pa Sakte hai. apane Face ( chahre ) ko Gora Bana Sakte Hai. yahan Diye Sabhi face packs aap Ghar par Bama Sakte Hai.

Gora Hone ke Gharelu Nuskhe – Upay

Agar aaj aap kisi function ya phir party mein jate hai to phir apka mood up ho jati hai yadi aap gora na ho to. Quki is jagah par koi apki knowledge ya phir apki property ko nehi dekhte hai .dekhte hai to Shirf apki beauty ko. Agar Beauty me kami hai to aap khud ko sharmindagi hoti hai. lekin ab chinta na kare yahan aapko best Beauty Tips Di hai. Ise Follow Kare aur face ko chamkaye.

gora hone ke gharelu nuskhe upay hindi

1. Multani mitti:

Aap Sab jante hai ki multani mitti gora hone keliye ek natural remedy hai. Sabse pehle aap ko multani mitti ki jarurat hai jo ki apko apki najdiki koi dukan mein mil jayegi. ya Fir Aap Natural Multani Mitti Powder Online Bhi Shopping kar sakte hai. Aur uske bad apko chahiye gulabjal. Aap thodese multani mitti aur gulabjal lijiye aur isachehe se mila lijiye. dhyan rakhe ki gulab jal jyada na ho.To apka face pack tayar hai.

  • Aap ise apni face pe lagaiye aur 15 minutes ke bad thande pani se dho lijiye.
  • Ise kuch din mein apki tyocha nikhrne lagegi.

2. Alovera:

Rang gora karne ke sath sath iska aur bhi bahot sare gun hai. Agar aap apni tyocha ko nikharna chahte hai to phir aap alovera ko apni chehre par lagaiye. ye apko sun ki ultra violate rays se bachayega aur apki tyocha komol ho jayegi aur nikhrne lagegi.

  • Apni skin par alovera ka lep lagaiye aur use sukhne dijiye.
  • 15-20 minutes ke bad aap ise dho lijiye.
  • Agar aap chahte hai to ise pure din bhi lagake rakh sakte hai.

3. Shahad:

shahad khane ke fayde to aap Jante hi honge. lekin shahad bhi ek nachural beauty Product bhi hai. ye ek aushadhi hai aur ise tyocha pe lagane se tyocha ka rang nikhar jata hai.

  • Ise lagane ke bad sukhne dijiye.
  • phir thande pani se dho lijiye.
  • shahad ko regular use karte rahiye.
  • kuchi hapto mein apko apki tyocha mein fark dikhega.

4. Besan aur dahi:

Aap besan aur dahi ka face pack banake bhi use kar sakte hai gora rang pane ke liye. aise banaye ghar par Besan aur dahin ka Face pack :

  • sabse pehle 2teaspone basan aur thode se dahi lijiye.
  • aur ise ache se mila lijiye.
  • Ache se ghul Jane ke bad aap ise apni chehre par laga lijiye.
  • 15-20 minute ke bad thande pani se dho le.
  • Ise kuchhi dino mein apki chehere par nikhar ane lagagi.

5. Haldi:

Purane Jamane me bhi Haldi Ka Istemal face ke liye Hota Tha. isake aadhar se hi shadi me Haldi ki Rashma Nibhayi jati hai. Haldi to rang ko gora karta hi hai. Aap ise besan aur doodh bhi mila sakte hai. doodh se bhi rang nikharta hai. aap in sabka paste banale aur apni chehre pe lagane ke bad 15-20 minutes rakhe. jab ye sukh jaye tab ise thande pani se dho lijiye. App ise regular use karengi to apko 1 week me hi fark dikhega.

6. Gulabjal:

Gulabjal banane keliye apko chahiye gulab ki kuch pankhudiya aur thanda pani. Aap gulab ki pankhudiyon ko ek rat ke liye bhigo lijiye. Agar aap pankhudiyon ko grinding karke pani mein mila sakte hai to apko jyada fhyda hoga. Ise aap chehre pe lagane se apka chehra -skin gulabi dikhega.

7. Tamatar:

tomatoes Sirf Khane ke Liye Nahi hai. Tamatar to kai bimariyon keliye gharelu aushadhi ka kam karta hai. ye hamari tyocha mein nikhar lane mein bhi madat karta hai. Aap tamatar ki juice ko chere par lagaiye aur sukhne ke bad dho lijiye. Ise aap regular use kijiye.

8. Orange:

Agar aap gora hona chahte hai to phir ye apke liye bahat fydemand hai. Quki ye apki chehre se sabnapan ke sath sath dag dhabe bhi dur karta hai. Aap iske juice ko apne chehre par lagaiye aur sukh Jane ke bad dho lijiye. Aap iske chilko ko sukhake iska powder banake bhi use kar sakti hai. Iss powder mein aap thodasa gulabka jal mila lijiye aur ise scrub ki tarah use kijiye.

9. Nimbu:

Nimbu apki tyocha ko nikharne ke sath sath pimples aur dag ko bhi dur karta hai. Aap Nimbu ke juice mein thodese pani mila dijiye quki issmein acetic acid hota hai. Ise apki skin ko irritation ho sakti hai. isako chehre par lagaye aur 15 minutes ke bad gun gune pani se dho lijiye. sath sath iss bat ka bhi dhyan rakhe ki Nimbu ka jyada prayog chehre keliye achcha nahi hai. Ise skin dry ho jati hai so aap iske bad koi bhi moisturiser laga lijiye. Iska proyog hapte mein 2-3 bar kijiye apka rang nikharne lagegi.

Useful Tips : Homto ko Fatne se Kaise Bachaye ?  Garelu Upachar

10. Chandan:

chandan sarir ko sitalta pradan karti hai aur hamari tyocha ko bhi nikharne ke sath sath pimples aur dag dhabe ko bhi dur karta hai. Aap chandan powder mein thode se Nimbu aur tamatar ka ras mila kar paste banalijiye. Ise apne face per lagaiye aur 15-20 minutes ke bad thande pani se dho le. Ise aap roz istemal kar sakte hai.

11. Bhap:

ye ek tritment hai. Bhap – Steam ek face Experiment hai. beauty parlour me Isaka Use Kiya Jata Hai. ( Bashp ) Bhap se chehre ki dhul mitti saaf jati hai. Bhap lene pimples nehi hota hai.

12. Kesar:

kesar to bahat sare cream mein use hota hai. Aap kesar ke kuch pate se thoda sa dahi milakar apni chehre par lagaiye aur 15minutes ke bad thande pani se dho lijiye. kesar ki prize jyada hoti hai but Isake benefits Bhi bahot hai. aap kesar Powder Online Buy Kar sdakte Hai. Click :

13. Baking soda:

Baking soda se aap apni rang ko gora bana sakte hai. Aap 1teaspoon baking soda mein sehi matra mein pani milakar paste banale aur ise apni chehre par 15minutes keliye lagaiye. Iske bad aap thande ya halke garam pani se apni chehre ko dho sakte hai.

14. Almond:

Aap badam ko rat bhar bhigo lijiye aur iska paste banaiye. Iske bad aap ise thodasa shahad milakar apni chehre par scrub ki tarah use kijiye. Iye apki rang nikharne mein madat karega.

15. potato:

potato ko kat kar apne chehre par ragde aur gungune pani se chehra dho le. kuchi din ise istemal karne se apki rang mein badlab ayegi.

16. Awala:

Awala ka juice rang saaf karta hai. Agar aap gora hona chahte hai to aap regular awala ka juice ka Sevan kare. Awala juice Arogya ke Liye Labhkarak Hai. kai log Isaka sevan karte hai. kyuki Awala juice benefits Bahot hai.

17. Poodina:

poodina ek natural remedy hai Jo ki hamara rang saaf karne mein madat karta hai. poodina ki kuch pate lekar ise ubal kar thanda kijiye aur iss pani se nahaiye.

Extra Inning :

Friends, Sundar Dikhna Sabhi ko Pasand Hai. agar aap Bhi apani Tvacha Ko Nikharna Chahte Hai to Yahan Diye Sabhi chijo Ko apanaye. Isake Jarur Aapko Benefits Milega. Itana Hi Nahi ye Aapko Kisi Tarah Ka Health problem- Side Iffect bhi nahi hota hai. ye sahi hai ki ye sabhi beauty Product ko lambe Samay Tak Use Karne Se Badhiya benefits Milta Hai.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply