How to Create New Gmail Account in hindi

create new email account in hindi, naya gmail. email id kaise banaye in hindi tarika . Internet ke sabhi User ke Pas ek Email Account hona Jaruri Ban gaya Hai. kyuki aap ko Kisi Bhi Online services  ka Use karna Ho sabse pahle ” create Account ” ka Option Aa Jata hai. Aur account banane ke liye sabse pahle email jaruri ho jata hai. kya aap New Gmail account banana chahte hai. agar aap bhi soch rahe hai ki Free email id kaise banaye ? to yahan aapke liye gmail me email id Banane ka tarika bataya gaya hai. agar aapko new Gamil id banana hai to is article me bataye step by step follow kare. padhe ” Gmail id kaise banate hai Hindi Me

Email Account Kyu Jaruri hai ?

aap yahan tak aaye hai matlab aapko kahi na kahi email ki jarurat hui hogi. online kai website ko use karne ke liye email id ki jarurat hoti hai. agar aap koi form online submit kar rahe hai ya naukari ke liye online apply kar rahe hai to aapk0 email – gmail account ki jarurat hoti hai. aajkar koi bhi Mobile Android application me account banana ho ( facebook, twitter, google +..etc.) email ki jarurat padti hai. ab ham kisi ko post-office ke jariye latter nahi bhejte hai. isake liye bhi email ka sahara liya jata hai. kisi bhi internet user ko email id ki jarurat hoti hi hai. is liye aapke pas email id nahi hai to aaj hi NEW Gmail Account Bana Lijiye.

Email ID kahan par banaye ?

jayadatar log Gmail pe free account id banate hai. kyu ki ye sabase best , easy use aur free services hai. gmail google ki product hai. ek gmail account bana lene se aap google ki kai aur free services ka use kar pate hai. lekin isake alava bhi kai aur email provider hai mai aapko bata raha hu. Top 10 Free Email Services 2017 : Zoho Mail, Yandex.Mail, Outlook Mail on the Web, ProtonMail, Inbox by Gmail, AIM Mail, iCloud Mail, Yahoo! Mail, Mail.com and GMX Mail. lekin sabse best hai. gmail. isliye mai aapko New Gmail account gmail se banane ka tarika hindi me bata raha hu.

Create New Gmail account in Hindi

  1. Google Account creation Page pe jaye.
  2. Name – User name add kare.
  3. Password select – add kare.
  4. birthday aur gender select kare.
  5. Phone Number – Current Email add kare.
  6. Privacy and Terms Accept kare.
  7. Don ..!!  Ready Your New Gamil Account

ye Simple step ko Follow karke aap New Gamil account bana payenge. ab in step ko follow kare. aur apana gmail se email id bana le.

Step : 1 : Sign up

sabse pahle Google Account creation page Pe visit kare. yhan aapko ek form dikhai dega. isame aapki sahi details add karni hai. aur Signup karna hai.
create new gmail account in hindi
1. sabase pahale aapka Name Do box me add kare.

2. aap gimail username kaisa rakhna chahte hai wo likhe. aap aisa username select kare jo aajtak kisi ne na rakha ho.

Note : ye name se hi aapka New Gmail account banega. Examole : [email protected]. aapko Pichhe @gmail.com nahi likhna hai. wo automateclly add ho jayega.

3. yahan aapko new gmail account ke liye password select karna hai. koi bhi stronge password choose kare. aur dono Box Me likhe. example : !@dinesh#7201@M ( Is Password ko kahi likh lene bhi jaruri hai. ( aisa na ho ki Gmail ID banate hai aap bhul jaye ..!!)

4. aapka sahi Birth date select kare aur likhe.

5. Gender Select kare . ( Male ya Female ?)

6. Aapke pas jo mobile number hai aur abhi aap use kar rhae hai wo add kare. Country sahi select na ho to select kare.

7. Aapke pas Koi dusara email account – id ho to yahan dal sakte hai. agar aap gmail account password bhul jate hai to fir se setup karne ke liye aur security ke liye jaruri hai. na hoto khali chhod de.

8. location check kare. sahi hai to koi problem nahi. auar aur koi country hai to change kare.

9. Ye sab step follow karne ke bad fir se sabhi details check karle. aur bad me Next pe Click kare.

Step : 2 Privacy and Terms Accept

Next Pe Click karne Pe Aapko ek Popup Pae me Privacy and Terms dikhai dega. isame ” I AGREE ” ka Button hoga. ise Click kare.

Bad Me Ye bhi Padhe :

gmail id privacy agree
Step : 3 Welcome

  •  ” I AGREE ” Pe click karte Hi New Page Open hoga. Isame aapko Welcome! ka Massage Dikhai Dega. Aapka New Gamil Account address bhi hoga.

gmail id kaise banaye

  •  ab “ Continue ” ke Button pe click kare.
  •  New Page Open Hoga Isame Account Settings Karna Hai. lekin aapko abhi kuchh karna nahi hai . aapka New Gamil Account ban gaya hai.
  •  yahan aap log in ho chuke hai. ko aapke aaye mail inbox me Dikhai denge.
  • bad me Right sidebar Profile Logo pe click karne se logout option mil jayega.

Ye Jarur Padhe :

Extra Inning :

I Hope Aapne Is Hindi Step Ko Follow karke Successfully New Gmail Account Bana liya Hoga. fir bhi aapko Gmail id Banane me koi Problem ho rahi hai to comment me bataye.

Aapko Ye New Gmail ID Banane ka Tarikia Kaisa Laga ? jarur Bataye. Is Article Ko Social media ( faceboo, whatsapp ) pe share kare.

Daily New Tricks and Tips Hindi Me Pane ke liye Hamara Facebook Page Like Kare .

1 Comment

Leave a Reply