BHIM App Se Aadhar Number Par Paise Transfer kaise kare

How to Transfer Money Bhim App Via Aadhaar Number In Hindi. BHIM aap Se Aadhar card Number Pe Paise Transfer karne Ka Tarika In Hindi Jankari. india Me demonetisation Ke Bas Cashless Transaction ko Badhava Dene Ke Liye Government Of India Ne BHIM aap lunch Kiya hai. Ab Tak 1.5 crore Se Jyada Log BHIM Aap Use kar rahe Hai. Bhim Aap Aanewale Dino me Bina Internet Bhi chal Sake Is Tarah Develop Kiya Jana Hai. BHIM api Aap Hai. Isase Kisi Ko Bhi Paise transfer karna easy hai. Aap Aadhar Number Se Bhi Money Transfer kar skte hai. QR Code Se Bhi Paise le Sakte Hai Transfer Kar Sakte Hai. Is Article Me Bhim App se Aadhar Number Pe paise transfer karne Ka Tariaka Videos Ke Sath Bataya Gaya Hai.

BHIM app National Payments Corporation of India – NPCI Ke dvara develop kiya Gaya Hai. BHIM ek UPI app Hai. ye App Sabhi Android Smartphone , Iphone me Available Hai. Ab Isame Aadhar Se payment karne Ka Future Add Kiya Gaya hai.

BHIM App Se Aadhaar Number Par paise kaise Transfer Kare ?

Paise Transfer Bhim via Aadhar Number

New Future Aadhar Payment enable Se ab Aap kisi ka Bank account pata Na Ho aur Paise Send karne hai to kar sakte hai. Isaka Aadhar Card number Aapke Pas hona Chahiye. Agar Kisi Ke Pas UPI Ke Liye virtual payment address Nahi Hai to Isake Liye Ye Best Option Hai. Aadhar Se Paise Bhejane Ke Liye Aapko Bank Account Number, IFSC Code Ki Jarurat Nahi Hogi.

  • Note : BHIM App Send Money Via Aadhar Number requirement
  • Aap Jise paise Bhejana Chahte Hai Isaka Aadhar Number Bank Account Se Link Hona Chahiye.
    Privacy or Security ke Karan Aadhar Number dalne Pe Name Nahi Show Hoga. matlab Aapko Sahi Aadhar Number Add karna hai. Nahi To Dusaro Ke khate Me paise Chale Jayenge. Aapke Paise bank account Se cut Jayenge. aur vapas Nahi Milenge.

Transfer Money Bhim App Via Aadhaar Number In Hindi

  1. Sabse pahle BHIM app Ko Mobile Me open kare.
  2. Send Money Par tap ( Click ) kare.
  3. Toip me Right Side Me Dikh Rahe 3 dot (:) Ko Tap Kare.
  4. Option Dikhai Denge Isame Se Aadhar Pay Select kare.
  5. Ji se Paise Bhejane hai Isaka Aadhar Number Likhe.
  6. Ab Verify Per tap Kare. ( Aadhar Number bank account Se Link hai ya Nahi Wo Check hooga.)
  7. Fir Se Aadhar Number Dikhai Dega. abhi Mauka Hai ek bar Fir Check kare.
  8. Bad Me Aap Jitane paise transfer karna Chahte Hai wo amount Likhe.
  9. Aap Payment Kyu karna Chahte Hai ye Bataye.
  10. Last Me Pay Button Pe tap Kare.

Isa Tarah Aapka payment Ho Jayega. Isaka Notification Aapko Dikhai dega. Transaction Option Me Bhi Aap Dekh Sakte Hai. kai bar payment successfully ya Fir Pending me Dikhai Deta hai, Lekin Send Nahi Hota Hai. Aisa Hone ka karn Server problem Ho sakata hai. Aap waite kare.

BHIM Aap Money Transfer Via Aadhar Number In Hindi Videos

BHIM app Money Transfer Limits:

1. Maximum limit per transaction is Rs. 10,000 per transaction
2. Maximum limit per day is Rs. 20,000
There is limit of 20 transactions per account per bank.

BHIM App use Karne Me Kitana Charge Lagta Hai ?

BHIM app Ko Use karna Free hai. Isake liye Koi charges Nahi lagta hai. Lekin aap Jis Mobile SIM ka Use karte hai wo SIM Provider *99# Services ke Liye SMS Ke paise lete hai. Internet use karte to Net Pack ke paise Cut Jate Hai. Your bank might however levy a nominal charge as UPI or IMPS transfer fee, which is not under our control.

BHIM App Frequently Asked Question Pdf file

BHIM App related Koi Saval hai ya Fir Koi Problem hai to Aap Is Frequently Asked Question PDF File Ko Download Kar sakte Hai.
Isame Aapko Sabhi BHIM app Sawal Ke Javab Aur All information Di Hai.

Extra Inning :

Is Tarah Aap bina Bank Account Number, IFSC Code Ke Bhi Kisi bank Account Me Paise transfer karna Chahte Hai to BHIM aap se Aadhar NUmber Per paise transfer kare Sakte hai.

Aapko Khyal Sirf Ye Rakhana hai Ki Jo bhi Details Add kare Sahi Tarah Se Smaj Ke Add kare.

Aapko Ye Article ” BHIM App Se Aadhar Number Par Paise Transfer kaise kare ”  Kaisa Laga Jarur Bataye.

Koi Saval ya Problem Hai to Comment Me bataye.

Daily IUpdates pane Ke Liye HindiHelpGuru FB Page Jarur Like Kare.

9 Comments

  1. Monu ram

    Sir hum Aadhar card se BHIM app ke jriye paise apne account mai transfer kr skte hai

Leave a Reply