Agar Aap blogger ya Website Owner hai To aapko Ye Batana Jaruri nahi Hai Ki Nofollow Link Kya hai. Simple tarike Se batau to Nofollow Links Wo hai jo Aapne Post – Article me Add ki hai . but Aap Search engine Ko Nahi Batana Chahte ki maine wo Links Post me Add ki hai. Blog post me Add ki gai kisi bhi link ko Search engine se Chhopane ke tarike Ko NoFollow Links kahte hai.
Nofollow Link kyu Add karni Padti hai ?
1. NoFollow Links Aapke Blog – website ki Security Ke Liye Hoti hai. Ham Blog post me Kai tarah ki website ki Link Reader Ke liye Add karte hai. jise Click karke Visitor Kisi Or website pe redirect Ho ke Jyada information Pa Sakta hai.
Kai Bar Hota ye Hai ki Ham Jis Website Ki Link Add karte hai Wo website Invalid Activity karti hai To Isase Apani Website ya Blog Pe effect Hota hai. kabhi kabhi Koi website Block ho jati hai, Malware aur Virus File Add karti hai. tab Google Search engine Hamari website ko Blog kar Sakta hai. Isase Bachane ke Liye Nofollow Links Add karni Padti hai.
2. blogging Se earning Ke liye Adsense Sabse badhiya platform hai. Adsense Policy Bahot stric hai. ham aisa koi bhi work nahi kar sakte jo Adsense rules se Khilaf ho. agar hamari koi bhi External Link ko open karne me Koi Problem aata hai to Adsense disable Ho jata hai. AdSense Domain Bhi banned kar sakta hai. Isase bachane Ke Liye hame Nofollow Links Add karni chahiye. Isase adsense Account Safe rahta hai.
3. Adsense ke alava Ham Koi aur Advertising se earning karna chahte hai to kar Sakte hai. ( Bidvertiser, Chitika, adnow, infolinks, amazon, flipcart affiliates Ete. ) but publisher website Popup, redirect, File Download ads Deti hai tab Adsense Aur Search engine Se Khtara rahta Hai. Isase Bachane ke Liye Nofollow Links add karni Chahiye.
4. Link juice ke Adhar Se SEO Hame Page Rank Deta hai. top Page Rank Pane Ke Liye – SEO score card badhane ke liye Blog Post me external site Links honi Jaruri hai. But wo quality links Chahiye. Isliye Link bhi add ho jaye aur koi Problem bhi na aaye Isliye Nofollow Link Use karni Chahiye.
WordPress Post Me Nofollow Links Kaise Add Kare ?
Agar Aapka WordPress blogging Platform hai to Aap Simple way Se Nofollow Links Add kar Sakte hai.
– SEO experts recommend using nofollow attribute.
Example of a link with nofollow attribute:
<a href=”http://example.com” rel=”nofollow”>Example Website</a>
Yah HTML me Bataya Hai Is tarah aap wordpress blog Post me Nofollow Link Add kar sakte hai. WordPress automatically
wordpress me aap Do tarike Se Nofollow – Links Add kar Sakte hai :
- Post write text – HTml editor se
- WordPress plugins Se
WordPress automatically nofollow to external links add nahi hoti hai. Iske lIye Aapko Plugins Use karna padta hai.
Post Visual editor Se :
wordpress Me Jab aap post write Karte hai tab aapko Nofollow Links Add karni hai to..
- Post Visual editor Me right Side Ke Cornar pe Text Ka Option likha hai vaha Click Kare.
- maine Upar bataya hai Isi Tarah Link Ko Add Kare.
2. Use plugins For Nofollow Link :
WordPress Me Kai Plugins Hai Isaki Madad le sakte hai. aap Sabse Pahle apke blog me
- Ultimate Nofollow ya Fir
- Title and NoFollow For Links plugin install- Activate kare.
Is Plugin Ki Help Se Aap link Ko New window me Open kara sakte hai aur Rel=”nofollow“ Link Bhi Add kar Sakte hai.
Isake alava Aap wordpress blog Me Apaki Site Ki Sabhi Links Ko Nofollow karna chahte hai ya Fir Select ki Site Ko Nofollow -Link Add Karna Chahte hai to ye plugin Use Kar Sakte hai. :
blogger post me Nofollow Links Kaise Add kare ?
Agar Aap blogger platform Pe blogging kar rahe hai to blogspot me koi Plugins Use nahi kar Sakte . lekin Blogger me Iske 2 Option hota hai.
- Post HTML Se add kare.
- link editor se add kare.
Post HTML Se Link Add Kare.
- jab aap Post write karte hai tab aapko Nofollow Link add kar sakte hai.
- Ji Word Ki Link Karni hai wo likhne ke bad HTML Pe Click Kare.
- mine Upar example diya hai Is tarah link Banake add Kare.
link editor se add kare.
Isake liye aapko Post write karte samay jab Link Add karni hai tab Aapko Link Ko nofollow Setup Karne Ka Option Milta hai. Ise Use kar sakte hai.
is Method Se Nofollow Link Add karne ke liye ..
- Jis word ki link Banani hai Ise Select kare.
- option me se Link Pe click kare.
- Link Url – web Address Add kare.
- Open this link New Vindow aur Add ‘rel=nofollow’ me Tik Kare.
- OK pe click kare.
Extra inning :
is Tarah aap wordpress aur Blogger blog website me Nofollow links add kar Sakte hai. aur NoFollow attribute ka Labh Le sakte hai. aapko Article kaisa Laga Bataye. Share kare. Koi Saval Hai to comment me hame Bataye.
Really a good advice sir. Thanks
aapki ye article hame bahut achha laga. kyonki me bhi ek blogger hu aur bloger platfrom par bloging karta hu.
aapk-i post padhne me bahut maza aata hai.
kyonki aap jab bhi koi post ko share karte hain. to bloger aur wordpress dono ke liye likhte hain. aur koi bhi kaam karne ke jitne bhi tarike hain. sabhi tarike ko aap post ke madhyam se batate hain.
isliye aapki post padhne me bahut maza aata hai.
dhanyavad… aapke 1005 sahi bola…