Online Voter id card Details Download Kaise Kare

Voter Id Card india Ke Nagrik Ke Liye Sabse Badhiya ID Proof Hai. Ye pahchan Patra Ke Liye Use Kiya Jata hai. Agar Aap Apane Voter id Card Ki Details Janna Chahte hai to kuchh easy step se check kar sakte hai. Online Voter Id Card Download kar Sakte Hai.

Jab election me voting karna hota hai to voter id card ki jarurat hoti hai. aap kahan se vote de sakte hai. aapka name kis state me, kis district me hai ? ye sab aap ab online check kar sakte hai. is details ko online voter id card Download kar sakte hai. Is Step Ko follow Kare.

Online Voter Id Card Download kaise kare

Online Voter Details Check Kase Kare ?

           Step : 1 :             

Sabse pahle electoralsearch.in ( National Voter Services Portal ) Website Pe jaye.

           Step : 2 :             

website Ke Home page pe Aapko Do option milenge. Is Do Option Se Aap Apana Online Voter id Card Details Search kar Sakte Hai.

Option : 1 : Search By Details ( apani Voter id Card Details Add kar ke Search kar Sakte hai.
Option : 2 : Search By EPIC No. ( apane  voter Id Card Ka Number Add Karke Details pata Kar Sakte Hai.

Details Of Voter Id Card Download Kaise Kare ?

           Step : 3 :             

Ab Aapke pas Do Option hai, Aapka Online Voter Id Card Download karne ke Liye. Isame Sabse Easy option 2 Hai. Yahan Sirf Aapke Voter Id Card ka Number add karke Sabhi Details Ka Pata Lag Jata Hai.

Use Option : 1 :

Online Voter Id card Details

  • नाम / Name = yahan Apana Voter Id Me Diya Name Add Kare.
  • पिता / पति का नाम (Father’s/Husband’s Name) = yahan Apane father / Husband ka Name Add Kare.
  • उम्र / Age – Yahan Apani umra – Age bhare.
  • जन्म तिथि/DoB – yahan Aap Birthday Bhi add kar Sakte Hai.
  • लिंग/Gender – Male ya Female Select kare.
  • राज्य/State – State Ka Name Select Kare.
  • जिला/District – District Name Select Kare.
  • विधानसभा निर्वाचन क्षेत्र / Assembly Constituency Select kare.
  • last Me Code ( Captcha ) bhare Aur Search Pe Click Kare.

Use Option : 2 :

Download Voter id card

Agar Aap Option 2 Use Karke Online Voter Id Card Download Kana Chahte Hai to Ye Step Follow Kare.

  • मतदाता पहचान-पत्र क्र./EPIC No. : aapke voter id card ka IPEC Number Add Kare.
    Code ( Captcha ) bhare Aur Search Pe Click Kare.

Voter Id Card Online Name Address change Kaise Kare

Voter Id card EIPC Number Kya Hota Hai ?

Aapke Voter Id Card Me Aapke Photo Ke Upar Ik number hota hai. wo Voter Id Card – EIPC Number kaha jata hai. Screenshot Dekhe.

Example voter id card

           Step : 4 :             

Dono Option Me jab Aap Search Pe Click karte Hai to Aapki Online Voter Id Card Ki Sabhi Details Aapko Dikhai Deti Hai.

Agar Ye Search karne Pe bhi Koi result na Mile To Dobara Search Kare. kyuki Kai Bar Server problem Ke karna Details Search Hone Me time Lagta Hai.

Search hui Details Ko Check kare. Sahi Me Aapki Hi Details hai Na ? kai Bar Aapki Details ek Se Jyada bar Show Hoti Hai. Isaka matlab Aaka Id Card dusara Bhi hai. ya Fir Duplicate ho gaya Hai. Aapko Ise Aapke BLO Se Mil kar remove Kara Dena Chahiye.

           Step : 5 :             

Download Online Voter Id Card Details

agar aapka Details Show Kar raha Hai to Isake niche Dekhe. yahan Aapko Print Voter Information Ka Option Dikhai Dega. Ise Click Kare. Download Ho Jayega.
Id Download File Ko Aap print Kar Sakte Hai.

Note :

Ye Sirf Aapke Voter Id Details Ka Pata Lagane Ka tricks hai. isase aapka Online Voter Id Card Download Nahi Hota Hai. Kai Website Pe maine Dekha Hai Ki Ise Voter Id Card Download Karna Hi bataya Gaya Hai. wo Galat hai.

ye Jankari Aap Google Play Store Se App Download Karke Bhi pata Kar Sakte Hai.

    • Agar Aapko Online Voter Id Card Ke bare me Koi Problem hai to Comment Me Baytaye.

48 Comments

  1. Sudeep Prajapati

    Sir. Mera voter id card bana hai ki nhi mujhe ye pata kerna hai aapne jo steps bataye hai wo maine follow kera hai lekin capture code barr barr inviled batata hai sir plzzz mujhe bataye ki mera voter id card bangaya ki nhi fr main fr se apply kru mera naam sudeep prajapati hai.

  2. satish choudhary

    sir mere purana votar id card kho gaya ha kya usi no. se naya kese banate ha
    sir pls batana

    • yes, aapke pas Is voter id card ka Number chahiye, isase aap NEW Voter id Card banava sakte hai. yahan id card details ki jankari di hai ise padhe..

  3. सर , मेरे वोटर कार्ड में नाम सुधार करवाना है ! और कलर फोटो अपलोड करना है ! क्या यह online हो सकता है ! कृपया बताएं !! धन्यवाद

  4. Dhan Singh Thapa

    Kya voter Id card ke liye kisi bhi month me apply kar sake hai ya apply karne ki koi date hoti hai ? Jankari dijiye

  5. MD ASFAQUE ANSARI

    sir,
    mera voter id card bhul gya h
    wahi voter id card kaise nikale
    koi link send kijiye
    please help me,,

    • Agar Aapke Pas Iski Xerox Copy Hai to Isase aap Fir se Nikalva Sakate Hai. Dusara Tarika Ye Hai Ki aap apane Najdiki Voter id Center ya Fir Aapke area Ke BLO Officer ka Contect kare, yahan Se sabhi Details Mil Jayega.

  6. Ashish chauhan

    I’wanna know about my voter dob who will i check my date of birth ann’t correct or is….

    • Areticle me Bataya Hai. Ise Follow Kare. but Isake Liye Details Aapke Pass Chahiye. agar Nahi Hai to Aapke Area ke BLO se Contact kare. jo voter Id ka Kam Karte Hai.

  7. Bodh Patel

    Sir Online Form Dalne Ke Lagbhag Kitna Din Me Sudhar Ho Jata Hai Mera 1 Month Ho Gaya Hai Abhi Bhi Submitted Dhikha Raha Hai Plz Reply

  8. Uttam Kumar

    Sir Maine Online Apna Voter Id Online Update Kardiya Hai Lagbhag 2 Month Ho gaye Hai Mujhe Id Ki Jald Hi Jarurat Hai Vo Mai Kaha Se Aur Kaise Download Karu.
    Jab Mai Form Submit Kiya To Tokan No. Bhi Diya Tha Jise Mai Note To Kiya Tha Magar Bhul Gaya Hu. Ab Use Kaise Dounload Karun Jald Hi Samadhan Batao Sir Please.

  9. sir mera voter id ka kisi ne miss use kiya haii jo sim jinsne bhi nikala ho usko band krwane ke liye mai kya kru

    • ab Aap Kuchh Nahi Kar Sakte. pahle pata lagao ki kisne Miss use kiya hai. aur kaun sa Jio Number Hai. bad me jio customer Care me batao.

  10. Bodh Patel

    Sir Main Voter Id Sudhar Ke Liye On Line Form Bhara Tha Usme Reference id Mil Gaya Hai 3 Mahina Ho Gaya Aaj Bhi Check Karta Hon To Status : Your application is under process. Aata Hai Mera reference id * 15b0754872f68bcc Kab Tak Ho Jana Chahiye Plz Reply

  11. Akhilesh mishra

    Maine voter ID sudhar ke liye online form bhara tha jise mahina poora ho gaya par mera card mujhe abhi tak prapt nhi ho paya

    • Voter Id Card Me Name Change Karne Ke Bat Aapka Name Voter List Me Sudhar Jata hai. bad Me Apane Area Ke Voter Card Office Se new id card Nikalna padega.

  12. sir mobile online voter card apply kiya hu send karne ke baad reference I’d diya hai reference number track kar rahu incorect baas raha hai… kyu sir… kaise hoga…

  13. Sir voter ID card h bt voter list me NaaM Ni h jiske wajha se vote Ni daal PAYE kiase voter list me apna NaaM add kiya ja Sakta h online

  14. Rohitsharma

    I lost my voter id card but I don’t no id number how to apply duplicate id card plz help me

  15. MSIRJON

    BHAI MERA ……..
    VOTER CARD KHO GAYA HAI .
    AUR ME DUPLICATE VOTER CARD KE LIYE APPLY KARNA CHAHTA HU .

    ONLINE KYA ONLINE HO SAKTA HAI
    PLZ HELP

  16. sir mobile online voter card apply kiya hu send karne me bad reference I’d diya hai reference number track kar rahu incorect bats raha hai

Leave a Reply