Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Ki Jankari Hindi

-

how to participate in Lucky Grahak Yojana- Digital Payment Lucky Draw ? cashless digital payment Ko Badhava Dene Ke Liye government Of India Ne Ek Yojana Lunch Ki Hai. Kya Aap Bhi Daily Hajaro Ke Prize Jitana Chahte Hai. Kya Aap Bhi Is Lucky Grahak Scheme me Hissa lena Chahte Hai. yahan Aapko Isaki Sabhi Details Hindi Me Di gayi Hai. jaise Ye Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Kya hai. Kaise Kisako Prize Milnewala Hai. Isaka Result kaise Dekhe. Isake Liye Kya karna Padega. Kis App ka Use karna Padega. Kis Ko Kitana Inam Milne wala hai. Ye Sab Bataya Gaya Hai.

Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Kya hai

Cashless Transaction Ko badhava Dene Ke Liye Do Yojana Shuru Ki Gayi hai. 1  ” Digi Dhan Vyapar Yojana “ aur 2. ” Lucky Grahak Yojana. ” Lucky Grahak Yojana Consumers Ke Liye hai. Matlab Ham Sab Chhote Chhote Transction Karne walo Ke Liye. hai. aur Dusari DIgi Dhan Vyapar Yojana business, trading, karne wale Vyapario Ke Liye hai. Aap Isa Dono Yojana Se 1000 Se 1 Crore tak Ke prize Jit Sakte hai. ye Dono Yojana December 25, 2016 se Daily lucky draw ke Jariye 15000 Winner Select kiye Jate Hai.

India Ka Koi Bhi vyakti Is Lucky Yojana Me Shamil Ho Sakta hai. Isake liye Aapko Sirf approved Tariko Se Online Payment karna Hai. Ho Sakta Hai jab Result aaye Aur Aapka Name Bhi Isame Samail Ho.

Lucky Grahak Yojana Me Kya prize Milnewala hai ?

Is Scheme Me Per Day, Per Week aur Last me Mega Lucky Draw Hone wala hai. November 8, 2016 se April 13, 2017 tak Aapne Ki Online Payment – digital transaction ko Dhyan Me liya Jayega.

Lucky Grahak Yojana digi dhan jankari hindi me

Daily lucky draw :

  • Daily 15,000 Logo ko Lucky Grahak Yojana Ke Liye Select kiya Jayega.
  • Sabhi winner ko 1000 Rupaye Diye Jayenge.
  • continuously 100 Din Tak ye Prize Diya Jayega.
  • Totale 15 lakh Logo Ko Inam Diye Jayenge.
  • One hundred fifty million Crore RS Kharch kiye Jayenge.

Weekly Lucky Draw :

  • Is weekly Prize Yojana Me Per Week 7000 logo ko select kiya jayega. Isame …
  • 1st Class Ke winner Ko 1 lakh Rs. Diye jayenge.
  • 2nd Class Ke vijeta Logo ko Rs 10,000 Milenge.
  • Third Division winner ko Rs 5,000 Diye Jayenge.

Mega Prize Draw :

April 14, 2017 ke Din Is Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan ke Liye Mega Draw Kiya jayega. Isme 8 November 2016 se 13 April 2017 Date ke bich Kiye Gaye Cashless Online Transaction Ko Dhyan Me Liya jayega. Isame Bhi 3 prize hai.

  • 1st Prize : 1 Crore Rs.
  • 2nd Prize : 50 lakh Rs.
  • 3rd Prize : 25 lakh Rs.

Kis Tarah Ke Transaction Me Kitana prize hai ?

Yahan Aapko Bata de ki Sarkar Ne Rupay Card Ke Trancation karne Walo Ke Liye Jyada Matra me Winner Select karne ka Socha hai.

  • RuPay Card Ke Liye : 11,900 Logo Ko Mega Prize Diya Jayega.
  • UPI Use karne Walo Me se 1,500 Winner Ko Select kiya jayega.
  • AEPS Se Online transaction Ke liye 1,500 Logo Ko Inam Diya Jayega.
  • USSD *99# Use karne Walo Me Se 100 Winner Ko Mega Prize Diya Jane wala Hai.

Kaisa Digital Payment Lucky Grahak Yojana Ke Liye Valide hai ?

Unified Payment Interface – UPI :

jyadatar Log UPI System Se Online Transaction Karna Cghate hai. aur Karte Bhi hai. Ye Online Payment Ka Easy aur Secure Tarika hai. Isame Sabhi banks Apana App Customer Ko Dete hai Is Mobile App Se ki gayi payment Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan ke Liye Valid mani Jayegi.

Isame SBI Mobile banking, BHIM App, PhonePe App , HDFC Banking App, ICICI Mobile banking, BOB, PNB banking App… Is Tarah Ki Sabhi app Se ki gayi transaction Dhyan me li jayegi.

Ye Bhi padhe ;

USSD *99# SMS Banking :

Jin Logo Ke Pas Android Smartphone Nahi Hota hai aur Vo Log Bhi Lucky Grahak Yojana Me Bhag Lena Chahte hai to *99# USSD SMS banking Service kar Sakte hai. Isme Simple Mobile Se SMS Ke Jariye Transaction kiya jata hai.

Aadhar enabled payment system (AEPS):

Aapko Malum Hoga Ki Sabhi bank Customer Ka Aadhar Card number bank Account Ke Sath link Kiya Gaya hai. Ab Aap Aadhar Nuber Se Bhi online Payment kar Sakte Hai. Samll Shoper Micro ATM Machine Use karte Hai Isame Ye System available Hai. Fingerprint Aur Aadhar Number Se Aap Bill Pay kar pate hai. Isase kiya Gaya Digital Transaction Bhi Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Ke Liye Valide mana gaya hai.

Rupay Card:

India me Dhan Jan bank Account Ke Customer Ko Ye Rupay Card Diye Gaye Hai. ATM – Debit Card ki tarah hi is Card ka Use Kiya Jata hai. Is Card Se Kiya Gaya Payment Bhi Aapko Narendra Modi Ki Inami yojana me winner bana Sakti hai.

Note : Digital Wallet Se kiya gaya payment Is Yojana ke Liye valid Nahi hai.
Example : Agar Aap Paytm, Freechege, PeUmoney, Mobikwik Jaisi App Se Kiya Gaya payment Digi Dhan aur Lucky Grahak Yojana me Prize Nahi Dila Sakta.

Isake alava Agar app Master Card, Visa Card aur Internet banking ( Net banking ) Se payment karte hai to ye transaction Is yojana Me valid Nahi hai.

Lucky Grahak Yojana – Digi Dhan Me Kaise Hissa Le ?

how to participate in Lucky Grahak Yojana

  1. Iske liye Aapko jyadatar payment Yahan bataye gaye valid Tariko Se karni hai.
  2. Iske liye Koi Form Submit Nahi Karna Hai. registration nahi karna hai.
  3. Bajar Me jaye Aur Koi chij Kharide to Rupay Card Se payment kare.
  4. rs. 3000 tak Ka payment valid mana gaya hai.
  5. 3000 rs se Jyada ka payment karna Pade to 2 part Me payment kare.
  6. Sabhi Banks Ki UPI App ka Istemal Kare.
  7. Agar Aap Bina internet Online Payment Karna Chahte hai to *99# USSD aur BHIM app
  8. Ka Istemal kare.
  9. micro ATM Se payment kare.

Ye Bhi Padhe : SBI ATM Debit Card PIN Change kaise kare ?

Aapko Prize Mila ya nahi kaise pata kare.

government ne Lucky Grahak Yojana ke Liye ek Special Website banayi hai. yaha Winner ke name declare kiye jayenge. aap Vijeta hone Pe bank account Me direct paise Trasfer kiye jate hai. aapko SMS Bhi milega. Aap Chahe to Is Website Se Bhi check kar sakte hai.

How to Check Lucky Grahak Yojana Winner

  1. Sabse pahle ye Lucky Grahak Yojana Result Website pe jaye.
  2. Yahn Aako ” customer ” aur ” Merchant “ Ka option milega.
  3. agar aap Customer hai to customer Ke button pe click kare. aur Merchant ( Vyapari) hai to Merchant pe click kare.
  4. Ab Aapka Mobile Number Add kare, Jo bank account Se register hai.
  5. Mobile Number Add karke GET OTP pe click kare.
  6. Aapko SMS Se OTP bheja Jayega. Ise OTP Ke BOX me add kare.
  7. Bad me try YOUR luck Pe Click kare. Aap Winner hai ya Nahi bataya jayega.
  8. IIske alava Aur Bhi Try kar Sakte hai. jaise …
  9. Aapne Kis tarah Ka Transaction kiya hai wo bataye.
  10. Transaction Type, Transaction ID. Transaction Date. VPA enter kare.
  11. Submit Pe click Kare.
  12. Ab aapko aapka Name Winner List Me hai ya Nahi wo Bataya gayega.

Security Tips : 17 Tips Cashless Transaction Security Ke Liye

Extra inning :

Sabhi Indian Ke Liye ye Best Mauka hai CrorePati Banne ka. Aapka kam Bhi Aasan ho jayega aur prize BHi mil Sakte hai.

Is Article Ko Social Media ( facebook, Whatsapp, Twitter 0 pe Share kare. aur Sabhi Tak Pahunchane me hamari Sahayata kare.

Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Related Koi Bhi Saval hai to Comment Me bataye.

HindiHelpguru Facebook Page Like Karna na bhule .

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

10 comments

  • ramesh mali

    upi aap se virtual adreess se payment karenge to benfit milega ya ac bo or ifsc se payment karenge to benifit milega

    • HindiHelp Guru

      Aap Dono Option Se Payment Karne Pe Lucky Grahak Yojana Me Hissa Le Sakte Hai.

  • Asif

    sir mera mastar sbi atm card hai a lacky grahak me hissa milega kya

    • HindiHelp Guru

      Yes Milega agar Aap UPI app Se Cashless transaction karte hai.

  • rohit khanal

    bhim app se money transfer karne se kiya lucky grahak ban payenge

    • HindiHelp Guru

      yes, bhim app bhi UPI app hai. aur sabhi upi app se lucky grahak offer me hissa le sakte hai.

  • rohit khanal

    ek Maine mai kitna ka kiya valid rahega sir

    • HindiHelp Guru

      Luck Grahak offer Ke Liye sabhi transaction vaide hai jo rs : 3000 se kam hai.

  • Trivedi

    Is online rupay transaction is valid?

    • HindiHelp Guru

      Yes, Rupay Debit Card Valid For Lucky Grahak Yojana.

Leave a Reply