How to Generate SBI ATM PIN by sms & ATM In Hindi

-

How to Generate SBI ATM Pin Online through SMS, ATM atm machine And IVR – India Ki Sabhi banks Me SBI – state Bank OF India Sabse Jyada services Provide karne Wali bank hai.  Isake ATM – Debit card ka Use to Aap karte Hi Honge. yahan Aapko SBI ATM PIN Generate karne Ke Sabhi tarike Hindi Me Bataye gaye Hai.

Jab Post Se hame New ATM mil jata hai to ham Sochte Hai Ki ATM Pin Kaise Milega ? Kab Milega. ? bank Me Jana padega Ya Nahi ? Pin Mobile SMS Se Mil Sakta hai ? In Sabhi Saval Ke javab yahan hai .

SBI Me Hota ye Hai Ki Jab Aap New ATM Card lete Hai tab Isaka PIN SBI Branch thhrough Diya njata hai. Aapka Pin Post Se Milta Hai. But Isame Kuchh Deri lagatti hai. Yahan Aap ko SBI ATm Pin generate karne Ke Sabhi Option Diye Hai.

SBI Ne Green PIN generation servisec Shuru ki hai. isase aapko ab Bank me ATM Pin Number Ke Liye jana Nhi Padega. ab Aap Internet Banking , Mobile SMS, ATM Se Bhi ghar baidhe SBI ATM PIN generate – change kar Sakte Hai.

process to generate the sbi green debit card pin through sms:

SBi ATM – Debit card Ka Pin generate Karne ka Tarika Mobile SMS Se work Karta Hai.

Follow This Step and generate ATM Card Pin Number :

  1. SBI Bank Account Me registered Mobile No. Ka Use Kare.
  2. Mobile Me message Me PIN Type Kare.
  3. Spec ke sath  Isake Pichhe Card Number Enter kare. ( Only for Last 4 digit )
  4. Ab iske Pichhe bank Account Number Add kare. ( Only For Last 4 Digit )
  5. SMS format

PIN<space>XXXX<space>YYYY.

( XXXX ATM card Number hai, YYYY Account Nuber Hai.

  1. Ab Is MSG Ko 567676 Number Pe Send Kare.
  2. Aapke registered mobile number pe OTP Aayega.
  3. Ab Is OTP se Aap kisi bhi ATM se Pin change Kar le. ( within 24 hours )

Is tarah Aap ATM Mobile SMS Se SBI ATM Pin generate kar Sakte Hai. Pin Number Change Kar Sakte Hai.

Generate SBi Pin infographics

Click – and Open this Images And Follow Step By Step 4 Option  

Click_>_All_Option_ATM_PIN_Generate ">

Click > All Option ATM PIN Generate 

generate sbi atm pin

How to Generate ATM PIN by atm Machine :

Aap Chahe to Apane najdiki ATM Machine se Bhi Debit card Pin Generate kar Sakte Hai.

Follow This Step :

  • Kisi ATM Pe jaye.
  • ATM Card dale aur ” PIN Generation ” opton Pe click Kare.
  • Aapka Account Number Enter kare.
  • Registered Mobile Number enter kare.
  • Confirm the Mobile Number me fir Mobile NO. Enter kare.
  • Aapke Mobile Number Pe OTP aapko Mil Jayega.
  • Is OTP se Aap Apana Debit Card – Sbi ATM Pin Change karle.

Ye Bhi Padhe : Citibank Net Banking Activation Kaise Kare ?

SBI ATM PIN generation through SMS IVR :

Is Option Se aap Call karke SBI ATM ka Pin generate kar Sakte Hai.

Use – Follow Simple Step :

  1. registered mobile number se 02652639598 no. pe call kare.
  2. SBI Debit cum ATM card number enter kare.
  3. Aapka SBI Bank Account Number Enter kare.
  4. registered mobile number pe aapko OTP Mil jayega.
  5. ATM me Jake Otp Se Apana Pin Change Kar De.
  6. Is tarah Aap ye Sabhi Option se koi bhi Option ke Step Se Apane ATM – Debit card Ka Pin generate kar Sakte Hai. Pin Number Change kar Sakte hai.

SBI ATM- Debit card Online Pin Change :

Isake Alava Agar Aap Online Banking – Net Banking use kar rahe Hai to iske through bhi Pin generate aur change kar sakte hai.

Also read : Debit Card vs Credit Card Dono me Kya Difference Hai.

Agar Aap SBI Online Banking – Mobile banking use kar rahe Hai to  SBI Freedom  Application me bhi geterate OTP ka Option Hota hai. aap Is option Ka Use kar Sakte hai. Debit card Pin Number Change kar Sakte hai.

Net banking Me Bhi SBI ATM PIN Change Option  available Hai. Isake Liye Aap ye Article Padhe :  SBI ATM – Debit Card Pin Change Kaise kare ? 

Extra Inning :

Aapko ye article useful Lage to To Apane Friends Group Me Bhi Share Kare.

HindiHelpGuru facebook Page Like Kare.

Email Se Follow Kare. aur Daily New updates Email box Me Free Paye.

Ye Jarur Padhe : Net Banking Safety kaise Rakhe ? 10 Security Tips Hindi

 

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

152 comments

  • Ashok kumar

    Sir mere ko new atm ke pin genarate karna ha lekin registard mobile number per message nhi aa rha ha kya kre koi upai batavo please

    • HindiHelp Guru

      Aapka Mobile Number registration hai ya nahi wo check karna Padega. ya Fir aapke Mobile Number Ko Bank alert Ke Liye Active karvana Padega. Dono Kam Ke Liye Ek Bar Bank Branch Jana Padega.

  • Manish chouhan

    Mere mai otp nhi aa rha h bank of india ka a/c hain mobile namvar bhi link h

    • HindiHelp Guru

      Agar Bank Account Se Mobile Number Link hai aur OTP nahi aa Raha hai to aapko Bank Branch me Jakar SMS Activation karvana padega.

  • Sanju

    Sir Mera ATM generation nhi hua otp bhi nhi Mila sms ke through..

    • HindiHelp Guru

      pahle pata kare ki Aapka Mobile Number Bank account se Link hai. baad me fir se try kare.

  • KUMARI MAMTA

    SIR MAINE BILKUL AISE HIN KIYA SCREEN PARR BATAYA JATA HAI KI OTP AAPKE REGISTERED MOBILE NO PARR BHEJ DI GAYI HAI BUT OTP MOBILE PARR NAHI AATI HAI…

    • HindiHelp Guru

      isaka matlab ye hai ki aapka Mobile number bank account se linked nahi hai. bank me jaye aur account ke sath Mobile number ko link karvaye.

  • suresh

    OPT aane ke baad uska use atm machine me krna hai kya

    • HindiHelp Guru

      yes, wo aapaka OTP hai. isase atm me jake PIN change kar le.

  • K Verma

    सर मे अपना एटीएम पासवर्ड बादल सकता हु क्या

  • Rajib mahto

    Mera neu atm hai aur mera first Time otp mil gaya aur pin May 24hurs ke andar pin chenj nahi kar paya aaj das din ho chuka kya Kare.

    • HindiHelp Guru

      yahan bataya hai is tarah fir se ATM PIN generate kare. aur change kar le.

  • Aman pratap

    Mera gupt cod kho gya h

    • HindiHelp Guru

      Is article me bataya hai isi tarah fir se generate kar sakte hai.

  • ankur

    Otp aane ke baad atm machine me genrate password me aapne man day password dalna hai

    • HindiHelp Guru

      yes, otp se aapka new password generate ho jayega.

  • manish sharma

    Sir atm gr aane ke kitne din bad pin generate hota h

    • HindiHelp Guru

      ATM ghar aane ke baad turant aap PIN generate kar sakte hai.

  • Deependra Dahiya

    Sir jo mera purana mobile number account connect tha wo actually me band ho gaya hai
    Ab me ise change karna chahta hoon new mobile number connect karna chahta hoon
    Sir step bataiye kaise change kare

    • HindiHelp Guru

      Mobile Number Bandh Ho gaya hai to Isake Liye Aapko Bank Branch me Jana Padega. Bank Me Form Submit karne ke baad Aapke Account ko New Number se link kiya Jayega.

  • snsinha

    Sir mera sbi atm pin generate Kar liya atm start bhi ho gya par pin bhool gya Ab kaya kare

    • HindiHelp Guru

      Is Article Me Bataya hai Isi Tarah Fir se PIN Banale.

  • sanjay kumar tiwari

    aapne jo hindi ko roman lipi msg ki tarha likhkar samjhaya ab bahut aasani se mujhe samjh aa gaya hai.. mai aapka bahut bahut dhanyawada kahna chahta hu..Thanks es tarah se sbi wale bhi likhkar ye photo ka demo dekar samjhana chahiye.. sbi wale samjhte hai india me sabhi log BA AM BSC padhe likhe hai. unko ye bhi dekhna chahiye..ki kuchh 5, 6 , 7 tak padhe hai unko jyada jaldi samjh nahi aata.. thoda hindi me samjhana chahiye…

  • Udayram Gurjar

    sir mene 3mah pahle atm ke liye aplay kiya tha our mujhe sms bi mila tha magar sir mujhe atm nahi mila fir mene 10day pahale atm ke liye aplay kiya to mere mo.par pir sms aa gaya hai magar atm nahi mila hai our bank walo ne atm ke liye mere khate se 230rupay ki katoti ki hai our mene apna addres bi sahi likha tha magar mujhe atm nahi mila our brach me se mujhe no.diye hai our kaha hai ki online post pffice me cheak kar lo to sar aap meri madat kijia pleas

    • HindiHelp Guru

      Bank ne aapko ATM bhej diya hoga, lekin Post se nahi Mila hoga. abhi 20 Day intzar kare. fir bhi Post se Na Mile to Bank Me Jake Kahna Ki mera ATM kho Gaya Hai. Dusara Chahiye. Bank se Form Submit Kar dena.

  • Pranalisharma

    Hi, maine apna ATM pin generate kia h lekin SMS receive nhi hua hai, please give me some suggestions.

    • HindiHelp Guru

      to Fir Aapka Mobile Number bank Account se Link Nahi Hoga. sabse pahle Mobile Number ko Sbi Bank account se Link kare. agar Link Kiya Hai to isi Number se PIN generate Kare.

  • Deepak kumar Raj

    Sir mera ATM ghar AA gya hai kya mai bina SBI bank me jaye password generate kar skata hu
    Please suggest me sir

    • HindiHelp Guru

      Ha, Is Article Me Batayi Tricks Ko Follow Karo. Password Generate Ho Jayega, Bad Me ATM Me Jake change Kar lena.

  • Kartik

    Hello sir I have a new state bank ATM card and when I go to ATM for pin generation but when I click on generate pin it does not working and I tried it on all SBI ATM available in my area at all ATM same problem exist tell me what to do now?

    • HindiHelp Guru

      Generate your PIN again. Change in ATM from 24 hours.

  • Ramesh

    Sar mera 12**75 pin bhul gya hu me or sr 12**75 mere pas h kya kru sr. Plz help me

    • HindiHelp Guru

      Comment Padhe. article me bhi Bataya hai. Ise follow karke PIN change bhi kar sakte hai.

  • Uttam Kumar

    Dear Sir,
    Mera Mobil No. To Account Se Juda Hai SMS Karne Ke Baad Jo OTP Aayega Wahi Mere ATM Ka Pass Hoga Kya ?
    OTP Milne Ke Bad ATM Me Kaise Pass Change Karna Hai Ek Bar Step By Step Batayenge Kya ?
    Please Sir !

    • HindiHelp Guru

      Aapke Registered Mobile Par Jo Otp aayega Wohi Passoed Yani PIN Ki Tarah Kam karta Hai. But ATM me jake aapko First bar Ise Use karke Change kar Lena Hai. ATM Me Change Password – PIN Option Me Jana Hai.

  • pintu

    Sir mare ATM se kisi ne online shopping kr li mera balance b kam ho gya kya kre ab

    • HindiHelp Guru

      bank me Jake Details Check Karvaye. apane Atm ka Password Change kar Le. ya ATM ko block Karva le. dusare ATM ke Liye Apply Kare.

  • Sonu Chauhan

    Sir mera new ATM card aaye huye ghr PR 4 month ho gye hai lekin mujhe ATM ka pin no. Nhi mila mai Kolkata job krta hu or salary bhi esi account mai aati hai mai bank Nhi ja skta mai ATM ka pin no. Kese lu

    • HindiHelp Guru

      Aap Article Padhe . aur aaj Hi PIN ghar Baithe Generate Kar Le.

  • vinod

    sir mera no SBI bank me reg hai..fir bhi otp nhi aa rha h..atm pin generate nhi ho rha..mene sms ke through,call se,net banking se, ATM machine se try kr liya ..atm machine me card insert krte hi direct pin mang rha h..3 atm try kr liye..any solution?

    • HindiHelp Guru

      ho sakata hai aapne password generate kiya ho aur aapko isama SMS na Mila Ho . aur Bar bar password generate karne se aapko block kar diya gaya ho. aap bank branch me jaye aur ye Problem bataye.

  • pardeep

    Sir mera ATM post se aya h us pin kesenikale

    • HindiHelp Guru

      article me batayi tips follow karo.

  • ARVIND

    MUJHE OTP NHI MIL RHA HAI

    • HindiHelp Guru

      aap Ne Is Tricks Se Generate karke Dekha ? agar generate Nahi Ho raha hai to Aapka Mobile Number bank account se Link Nahi Hoga.

  • ajay pal singh

    sir ye otp hi ATM pin hai kya aap muje bataye ki kaise me pin mil sakta hai

  • Navdeep

    Helo Sir . Sir Mera ATM aaye Kafi Months Ho gye BT ab Pin generate Nhi Ho PA ra h .so pls give me advice .

    • HindiHelp Guru

      shayad aapka mobile number bank account se link nahi hoga.

  • maya

    mera atm to post k through agya but pin no. nhi aaya bank me gye .. i think no. old register hua h kya hum new no. change kt skte h …? atm me jakr

    • HindiHelp Guru

      agar aapke pass old number hai to atm se ho sakta hai. lekin old mo. number kahi kho gaya hai to aapko bank branch me jana padega.

  • rajendra singh

    are bank wale time lga rhe mere pas atm hai account no hai jandhan wla khata pin no bool gya koi no. btye ya dusra upay jaldi se mera atm kam kar ske plz sir

    • HindiHelp Guru

      Article me bataye Step Follow Kare aur Fir Se Pin generate kar le.

  • jitendra mukhraiya

    Sir mein kitni baar otp generate kr skta hu aur uski limit aur validity kitni hai Sir meine otp generate k baad banking option pr gya uske baad new pin aur new pin reenter kiya fir uske baad use incorrect pin bata diya jbki meine bilkul sahi dala teen baar fir card block ho gya ek din k liye ab aap bataye mein kya karu

    • HindiHelp Guru

      sure muje malum nahi but maine 3 bar generate kiya hai.

  • pawan

    Sir maine atm me generate pin par click kiya udhar par 11 digit account no manga mera account no 19 digit ka tha maine wahi dala phir confirm karke registered mobile no dala phir udhar ek message aya you pin will be delivered . Sir to mera pin change ho jaega kya isse…….itna simple step hai kisi ko agar card mila toh misuse kar sakta hai ……..please clarify fast

    • HindiHelp Guru

      aapka PIn Generate Ho gay Ya Nahi wo aapko vahi Check Kar lena Chahiye Tha. Kya Aapke Mobile Pe Otp Aaya Tha ? agar otp Se Aapne PIN generate kiya Hai to Ho Gaya.

  • lakshman prasad

    Halo sir ji aap ye bataye ki jo otp hame prapt ho ga vo sirph 24 h se jyada hu to kam nhi kar sakta kya

    • HindiHelp Guru

      24 Ghante Ke Bad Aapko Fir se ATM Pin Generate Karna Padega.

      • Asif

        Kya ham apna new atm pin kese bhe atm machin me bna sakte he

        • HindiHelp Guru

          nahi, Sirf Apane Bank Ke ATM se Hi generate kar sakte hai.

  • lakshman prasad

    Halo sir mera mera baink account band hai to kya atm pin mil sakta hai

    • HindiHelp Guru

      nahi Mil Sakata Aap Bank account Ko Fir Se KYC deke Shuru Karo. bad me hoga.

  • anand kumar

    sir jo apne procces btai h atm card activate krne ki maine wo msg kr diya h but msg ka reply nhi aaya h kitne time me rply aata h

    • HindiHelp Guru

      Aapne Jis Number Se Massage kiya hai wo aapke bank account se link nahi hai to nahio reply nahi aayega. Mobile Number bank account se link hai to fir se try kare.

  • vinit

    thanx sir aapki batayi huyi process maine follow ki aur mughebank chakkar nhi lagane pade

  • Ajay

    Dear Sir
    I want to Atm pin genrates of SBI but it was not to be success. sir guide me by email.

    • HindiHelp Guru

      are you sure your Mobile Account Number Is link bank account ? check and try Again.

  • mohit

    Dear Customer, Your credentials not found in database. Please provide valid credentials sir ye message araha hai

    • HindiHelp Guru

      Isaki Do Vajah Ho sakti Hai.
      1. Aap Bank Account se Link Mobile se SMS Nahi Kar Rahe Hai, Ya fir,
      2. Aap Galat ATM Card Number – Bank Account Number Add Kar Rahe Hai.

  • Kundan kumar

    Mai atm ka pin no. Bhul gaya hu naya pin kaise mangabe please sent me help no.

    • HindiHelp Guru

      App ATM Pin Fir se Generate Kar Le.

  • Premchand

    sir mere atm ka OTP na dekar ye massage aa raha hai
    Dear Customer, Your credentials not found in database. Please provide valid credentials. sir to mai kya karu.

    • HindiHelp Guru

      Aap aur Kuchh Na Kare. Nahi Koi MSG Link Ko click Kare. ye bat Bank Branch Me jake batade.

  • akram raza

    Sr new atm ki date kab tak hoti h please sr help whatsapp no. 8267840894

    • HindiHelp Guru

      sure time malum nahi but, maine 1 year tak use kiya hai.

  • akram raza

    Sr new atm ka pin kab tak manga sakte h repley sms

    • HindiHelp Guru

      atm card aa jane ke bad 1 year tak…

  • kiransagar

    sir mera jo debit card hai wo sbi ka hai mai online banking se pin
    ganret and activet karne ke bad atm me fist tranjection bhi kar chuka hun sir prablum ye hai mai card ko lagbhag ak mah tak yuj nahi kiya ab uske bad atm se response code 055 checking and paytm se card deactivate bata raha hai .to sir prablum kya hogi aur ese kaise thik karun
    ..

    • HindiHelp Guru

      bro, Isame Do Baten Ho sakti Hai. 1. Aapke ATM card Ki expiry date check kare. ho sakata Hai expir ho gaya Ho. 2. ya fir koi Problem ya Security Ke Chalate Bank ne Aapka ATM card block kar Diya Ho.
      Aapko Isaka Pata bank Branch Se Hi Lag Sakta Hai.

  • MITHUN PASWAN

    SIR AGAR 24 HOURS MEIN ATM PIN CHANGE NAHI KIYA KYA HOGA

    • HindiHelp Guru

      agar aap 24 HOURS Me ATM Pin Generate Nahi Kar Paye to aapko Fir Se PIN generate Karna Padega.

  • rajat

    sir mera pin generate nhi ho rha . sms send krne pr vo reply kr rhe h ki aapka credentiol valid nhi h .. ab mai kya kru.

    • HindiHelp Guru

      Aap SMS Send karne Me koi Galti Kar Rahe Hai. Fir se Try kare.

  • omkar

    sir maine atm ka pin generate kar liya or atm mai pin change bhi kar liya par mobile par dabit card ending ka massage aa gaya or atm se paise bhi nahi nikal rahe hai na koi online payment ho raha hai sir naya atm hai please help me

    • HindiHelp Guru

      Aapka ATM Card Rupey Hai to Kai Online Payment Nahi Hote Hai. aap Kuchh Din wite Kare aur Bad Me fir Try Kare.

  • virendra sisodia

    mera purana atm block ho gya h new chaiye

  • Jahangir

    Sir obc bank atm ka pin kaise generate kare

    • HindiHelp Guru

      Aapko OBC Pin Bank Branch Se Milega. ise ATM me Jake Change Kar lena.

  • chenaram

    Sir mere atm pin no. Nhi aaye heuske liye kya krna hoga

    • HindiHelp Guru

      Article Ko Padhe aur PIN generate Kar le.

  • Chandrashekhar D Mukavekar

    I have not received my pin since 25 days.

    • HindiHelp Guru

      Article tips ko follow karo. aur PIn generate kar lo.

  • Suryamani

    Sir mera SBI ATM mil gaya parantu pin generate diye gaye process par kar raja hu otp reg. Mob par nahi mil raha hai?

    • HindiHelp Guru

      sabse pahle pata lagaye ki aapne bank account me kaun sa number link kiya hai.

  • sadananda mallik

    sir mera mobile no mera acount me link kaise karun online me.

    • HindiHelp Guru

      Mobile se REG type kare. spec deke Account Number type kare aur 9223488888 pe send kare. is tarah nahi hota hai to aapko bank branch me jake link karna padega.

  • sadananda mallik

    Sir meramobile nomber nahi activate he toa me kaise atm pin melega please helf me.

    • HindiHelp Guru

      App ATM Card Online Apply Karke 15 day to 1 month ke bad Ke Bad Bank Branch me jaye . PIN Mil Jayega. tab Mobile Number bhi Bank Account se Link kar a dena. bad me koi problem na ho.

  • Jahangir

    Sir ye saving account or current account ka matlab kya hota hai.

    • HindiHelp Guru

      saving account aam logo ke liye hota hai. isaki kuchh simaye bhi hoti hai. aur current account business – Traders ke liye use kiya jata hai. isame jama amount ke interest nahi milta hai.

  • mamta

    Sir, mene atm se card activate kia pr activate nhi hua,…
    Or bank se pin milne k bd kitne din k ander card activate krna chahiye, or kafi time tk card pin activate nhi kia to kya koi prblm ho skti h kya…??

    • HindiHelp Guru

      Jyada Time Ho Jane Pe ATM card Activate Nahi Ho Payega. Aap Fir Se PIN generate Kar Lo.

    • M k meena

      Nhi koi problem nhi hogi or 24 hrs me change krna hai h OTP Milne ke bad, kyoki ye OTP 24 hrs tk hi many hai.

  • mamta

    Sir,
    mene bank se atm pin liya pr us time atm activate nhi kia, ab jb activate kia to nhi hora h, kya ap mje first time pin activate krna step by step bta sakte h..???

    • HindiHelp Guru

      Ab Aap Fir Se Article me bataye Step Follow Karke PIN generate Kar Lo . aur ha 24 Ganto me ATM me Jake PIN change Kar Lena.

    • Vikash kumar

      Good evening sir
      Mere pass atm otp hai mughe atm pasward chahia
      Ki trh se mil sakta hai

      • HindiHelp Guru

        Article Padhe. Isame Bataya Hai.

  • gurdeep

    sir mera koi bhi number register nhi ha ma apna ATM pin kese pta kr skta ho

    • HindiHelp Guru

      to fir aapko Bank Branch me Hi Jana Padega.

    • Nanaki bai

      Mera bhi mob, no rag, nahi hai muje bhi pin Lena hai

      • HindiHelp Guru

        pahle aapko MO. nO. Bank account se register karvana padega.

  • Amit Saini

    Sir mera ATM to aa gya tha pr jb m Pin lena bank gya to bank ne Pin reject kr diye the isliye Pin ni mila… to ab mujhe New ATM lena hoga ya bs ATM Pin lena hoga… Atm s hi green pin le lu

    • HindiHelp Guru

      Aap Ab Fir Se ATM Card PIN Generate Kar Le. Card Lene Ki Koi Jarurat Nahi Hai.

  • anish kumar prasad

    sir mera amt muje mil gaya pass book me mobile no genret nahi to otp code kaise milga

    • HindiHelp Guru

      Aapka Mobile Number Bank Account Se Link Hona Jaruri Hai. nahi hai to aapko ATM Pin Bank Se Milega Lekin Isake Liye aapko wait Karna Padega.

  • shruti rathore

    sir mai apna atm ka pin change kr k bhul gyi hu ab mujhe wo pin kese pta chalga.

    • HindiHelp Guru

      is article me bataye step follow kare. dusara ATM PIN Ban Jayega. online bhi pa sakte hai.
      Option : 1
      Log in to your SBI Card Online account at sbicard.com
      Go to My Account on left hand side menu
      Select ‘Manage PIN’
      From the drop down menu, select the credit card, you want to generate the PIN for.
      We will SMS you a One Time Password (OTP) on your registered mobile number
      Enter the OTP and your ATM PIN that you want to set
      Click on ‘Submit’ and your PIN is generated
      Option :2
      Call SBI Card helpline on 1800 180 1290 and select option 6
      Key in your card details and date of birth
      Authenticate with One Time Password (OTP) sent on your registered email ID or mobile number
      Set your SBI Card PIN

  • sushil

    sir maine apne register mobile no. se sms bhi kiya call bhi ki.. sab kuch. jo prosejer hota… lekin mobile main otp nhi a rha… bank se paise nikalta hum to sms a jata hai… atm ka pin janret nhi ho rha… plz help karo yr

    • HindiHelp Guru

      Aap Apane Bank Branch Me Jaye aur Ye Problem Bataye.

  • Mukesh

    Atm expire ho gya h pin v generate kr ke otp v mil gya h otp ka use kaise kre atm ke kun se option se atm fir se chalu kr skta hu plz tell me

    • HindiHelp Guru

      Aapka ATM Atm expire ho gaya hai to naya le lena chahiye tha. so aapne PIn generate kiya hai to ATM Se PIN setup karne ke step Article Me Bataye Hai.

  • Nukesh

    Otp milne ke bad kya process h plz tell me in detail

    • HindiHelp Guru

      Aapko ATM card Mil gaya hai to ab Is Article Me bataye Step Follow kare. PIN Generate Kare.

  • suresh

    sir mera ATM pin atm se genrate nhi ho rha otp nhi aa rha h ragitsrd number pe

    • HindiHelp Guru

      aap register mobile number se hi msg bhej rahe hai na ?

  • Vinod Kumar

    Sir mene sms ke through pin generate karne ki koshis ki lekin otp ka msg nhi aa rha kya kru

    • HindiHelp Guru

      Aapka ye Mobile Number Bank account se link hona chahiye. agar link kiya hai fir bhi OTP nahi aa raha Hai to fir se try kare.

  • Jahangir

    Hello sir ATM se ham kitne rupees 1 week ya month m withdraw kar sakte hain

    • HindiHelp Guru

      ATM withdrawal limit 40, 000 to 50, 000 hai. ye amount Bank kaun sa hai isape bhi depend karta hai.

  • jayesh

    Sir mera ATM card pin ganrat karna he. Par blok bta that he to Kya Kare new ATM card he

    • HindiHelp Guru

      Kisi vajah Se Aapka ATM Block Ho gaya hai to aapko Bank Branch me Jana Padega.

  • Jahangir

    Sir Maine apna pin atm par jaakar change kar liya hai lekin balance withdraw nahi ho paa raha kya ye update hoga 24 hrs me

  • Sandeep

    Sir atm pin generate karne ke liye jo otp register mobile pe ata hai wo hi atm pin hai kya

    • HindiHelp Guru

      Sandipji, Wo OTP hota hai. Ise Ek bar dalkar Aap bad me PIN Change kar lena Jaruri hai. Security ke Liye.

  • jyotishman nath

    can i activate my atm by entering sms generated otp in any (non state bank) atm machine?

    • HindiHelp Guru

      No it won’t be possible. The PIN Generate option is not available when you use a “Non SBI” ATM.

    • Kai

      Sir many sbi ka atm lia h jo uska passwd v banalya h lyken o ave kam nahi kar rha h kab kam karyga

      • HindiHelp Guru

        Aapne SBi ATM Ka Password Generate kar liya hai.to ATM me Jake Ek bar Password Change kar lo. aor try karo.

      • deepak das

        Pahla password mila hain atm k through phir apna atm cars ko dale pin change option par click kare pahala password jo mila tha vo password enter ko baad me aapna man se koi bhi password dale phir wahi password phir daale aapka atm pin chaalu ho jayega ok

    • Rajesh Bohra

      mara bank sbbj ha kya atm pin genrate hogha
      kya

  • Samrat Rai

    Sir mera phone panasonic p55 novo hai wo bhi 3g isme jio kaise chalega aapne jo help likhi hai usse kam nahi kar raha hai please help

    • HindiHelp Guru

      jio 4g sim sabhi mobile phone me available nahi hai.jo tricks hai wo sab maine article me bata di hai.

    • phoola jani

      Hello sir mera atm pin mujhe nahi mil raha hai atm milgaya par pin no nahi mila abhi tak kamse kam 1 year ho chuka hai

      • HindiHelp Guru

        Aap Article Me Bataye step ko follow kare. mil jayega. agar ATM PIN Generate hone me koi bhi Problem aa Rahi hai to bank Branch Me jaye.

        • Ravinder Singh

          Hlo sir mene apke bateye huye number 02652639598 par call kiya lekin mera atm card number wrong bta rahe hai lekin me bilkul sahi enter kar raha hu

          • HindiHelp Guru

            do vajah ho sakti hai.
            1. aap Jis Mobile Number se SMS – Call kar Rahe Hai wo Galat Yani Bank account Se Link Na Ho .
            2, ya fir Aap galat ATM card Number Add Kar rahe Ho.

            Fir Se try Kare. fir bhi Na ho to Bank Branch Me Jaye.

Leave a Reply