Digilocker Registration kaise kare – Create Account in Hindi

-

How to Create Digilocker Account In Hindi. Digilocker Use Kaise Karte Hai Step by Step Jankari. digilocker registration process. Aapne Locker ka Name Jarur Suna Hoga. aur ye Bhi Jante Honge Ki Locker Bank Me Hota Hai. Jahan Aap Jewelery Rakh Sakte Hai. Isi Tarah Aap Apane Kuchh Document Online Store kar Sake Isake liye Digilocker Services Government Provide kar Raha Hai. Digital India ki Ye scheme hai. Jisame Aap Apane Personal Document Online Apane Account Me rakh Sakate Hai. Jarur Padne par Kahi bhi ho Dekh sakte Hai. Print Kar sakte hai. Use Kar Sakte Hai. Dusaro Ke Sath Share Kar Sakte Hai. Is Article Me digilocker registration Step By Step Hindi Me Bataya Gaya hai.

Digilocker Kya Hai ?

Jab Aap Kisi Job Ke Liye Apply karte Hai, interview Dene Jate Hai to Aapko Sath Me Document rakhne Padte Hai. pan card, Voter ID Card, Passport, Driving license, Birth Certificate, Study Certificate, IT Retarn sleep ye Sab Sath lekar Ghumna Padta Hai. chori Ho jane ka – Bhul Jane ka aur Ghum ho Jane ka Dar Rahta hai. Isliye Ise Online Rakhne Ki Services Ki Shuruat Huyi Hai. Pradhanmantri Narendra Modi Ke Digital India Program Ka ye Important Hissa Hai. Government Of India Ki Personal Online Document Storage Facility hai. digilocker Se Aapke Sabhi Document Online Store rahte Hai. Aapka Khud Ka Online Account hota Hai. Account Aadhaar card Se link Hota Hai. Aapke Siva Koi dusara Nahi dekh pata. Security Ke liye bhi Sabhi Kadam Uthaye Gaye Hai. digilocker registration karne Ke Bad Only Aap Isaka Use kar Sakte Hai.

Digilocker benefits – Fayde Kya Hai ?

  • Aap Kahi Bhi job Ke Liye Jate Hai, Document Sath Nahi rakhne Padenge.
  • Emergency me Koi Document Ki Jarurat Ho to One Click Me Mil Jayenge.
  • Aapko Bar Bar Paper Use Nahi Karna Padega.
  • Aap Document Ko kisi Ke Sath Online Share Kar Sakte Hai.
  • Fake documents – Fraud ke Problem Mit Jayenge.
  • Ye Puri Tarah Good and clean process Hai.
  • Aap Kisi Bhi Jagah Ho documents Access Karna Aasan Ho Jayega.
  • Hamara Desh Didital Paperless Ki Aur Aage Badhega.
  • digilocker Android App Se Aap Mobile Me Bhi Account Create kar Sakte Hai.
  • digilocker registration karne par10 MB Free personal storage space Milta Hai.

Kya digilocker ka Istemal Secure Hai ?

Kahi Logo ke Man me ye Sawal hota Hai Ki Kai Apane Document Hack Nahi Ho Jayenge Na ? Koi Chura Nahi Lega? misuse Nahi Hoga Na ? Aap Nischint Rahiye, Sarkar ne digilocker Security ka Pura Intjam Kiya Hai. Isake Liye Hi Abhi Digilocker Ka Beta version launches Kiya Hai. Document Ko Aap E-sign Karke Secure Kar Sakte Hai. eSign karne padte hai tab jake ye documents Authorise ho jate hai fir ham kahi bhi ye sare documents ka use kar sakte hai. Aapke Sabhi Document Ko Aadhaar Number Se Jod Diye Jate Hai. Ye Sabhi Security digilocker registration – Account Carete Karne Par mil Jati hai.

How to Use – Digilocker ka Istemal Kaise karte Hai ? How to Use ?

Digilocker Registration Create Account in Hindi

Digilocker Ka Istemal karne Ke Liye Sabse pahle Aapko Digilocker Government Website par Account Create karna padta Hai. Account Open karne Ke Liye Do Option Hai. 1. Aadhar Card Number ke sath 2. Bina Aadhar Card Number ke sath. Mobile Number Se. Isake Bad Aapko Apane Document Scen Karke Upload Karne Hai. Upload Ho Jane Ke Bad esign Karna Hai. bad Me Aap Online Store Kiye Document Ka Use kar Pate Hai.

Digilocker Registration – how to Register Digilocker in Hindi

Step : 1 – Signup With Your Mobile

Digilocker Account Create

  • Sabse Pahle Digilocker Website Par Jaye.
  • Yahn Aapko Sign Up ka option Dikhai Dega. vahan Click Kare.
  • Aapka Mobile Number Enter kare.
  • Continue Par Click Kare.
  • Aapke Mobile Number Par OTP Aayega Ise Enter Kare.
  • Verify Par Click Kare. ( Isake Liye 10 Minutes Ka Time Hai. )

Step : 2 – Create Username or Password

Digilocker Me Username Password
New Page Open Hoga Isame Aapke Account Ke Liye Username Aur Password Create karna Hai. Bad Me Digilocker Registration Pura Ho payega.

  • Username Enter kare.
  • Password Select kare aur Signup Par Click kare.

Note : Pure India ke Log Is Digilocker Registration kar Rahe Hai to Jyadatar Username Same Hone Ke Karna User Name Select karne Me Problem Aa Sakti Hai. Aap Kuchh Unique Username Select kare.

Digilocker Username Example:

  • Manoj@#12@#(9)
  • Rohan<mp>99##
  • Meenal88@#1?
  • !(4)NayaNa123@
  • ((999))sagar@patel#

Is Tarah Aap Unique Digilocker Username Example Ka Use karke Select kare.

Digilocker Username Example:

Password Bhi Aapko Strong Rakhna Padega. taki Koi Ise Hack Na kar paye. Password Me Bhi Aap All Cherector Use kar Sakate Hai. Strong Password Banane ke Liye ye Article Bhi Padhe :

link aadhaar number digilocker

Is Step Me Aapko Aadhaar Card Number Add Karne Ke Liye Kaha Jayega.

  • Aapaka Aadhaar Card Number Add kare.
  • Aadhaar Card Ko Link – Verify karne Ke Do Option Hai. 1. Use Fingerprint Password 2. Use OTP
  • Sabhi Ke liye Fingerprint Add karna Possible Nahi hai to OTP se Verify Karna Simple Rahega.
  • Use OTP me Dot Rahne De aur Submit par Click kare.
  • Ab Aapke Aadhaar Me Diye Mobile Number Par OTP aayega Ise enter kare.
  • OTP enter Karne Ke bad Verify Par Click kare.

Note : Agar OTP Enter karne Me Problem Aa Rahi Hai to Not Now – Next Par Click kare aur dusara Method Use kare.

Aadhaar Ko Digilocker Se Link Karna

  • Aapka Aadhaar Number Dikhai Dega.
  • Date Of birth Select kare.
  • Aadhaar Me likha Hai Wo Aapaka Name enter kare.
  • Gender Select kare. or Verify par Click kare.

Step : 4 –  DigiLocker account is successfully created

successfully create digilocker account

Ab Popup Me Ek Notification Dikhai Dega. Aapka Digilocker Registration ho Gaya Hai. Aapne successfully Digilocker Account Create kar liya Hai. Aap Chahe to Ise Facebook – Twitter Par Apane Friends Ke Sath Share kar Sakate Hai. ya Fir Right – Top Me Close Ka Button Diya Hai.

Useful : Aadhaar Card Number  ko Bank Account se link kaise kare?

Digilocker main Document upload kaise kare

Digilocker Registration Karne Ke Bad apka Account Ban Gaya Hoga. aur Aap Digilocker dashboard Par honge. Ab Aap Digilocker Par Apane Document Upload kar Sakate Hai.
Agar Aap bad Me Document Upload karna Chahe to Pahle Username – Password Se Sign in karna Padega. Fir Aapko dashboard Dikhai Dega.
Digilocler Me Document Upload Kaise Kare
Sabase pahle Aapko Jitane Bhi Document Upload karne hai Sabhi Ko Computer ya Mobile Me Scene karke Ya photo leke Save Kar Le.

  • dashboard Par Left Side Me Upload Document Ka Option Dikhai Dega. Ise Click kare.
  • Ab Aapko Folder or Upload Ka Button Dikhai Dega.
  • Aap Chahe to Pahle Folder bana Sakate Hai. ( 2 Folder pahle se bane huye hote Hai )
  • ya Fir upload Par Click kare.
  • Kisi Folder Me file Ko rakhna Hai to pahle Folder Par Click Kare. Bad Me Upload Kare.
  • Computer Me Document File Ko Select kare.

Note : File 10 MB se jyada Nahi Honi chahiye. File Ko Rename Bhi Kar Le. Aap Sirf Jpg, PDF, JPEG, PNG File Upload Kar sakte Hai.

  • Agar Is Formate Me File Nahi Hai to Ye Padhe : File Formate Change 
  • File Upload Ho Jane Ke Bad Aapko Name Ke Sath Dikhai Degi.
  • File – Folder Ko Edit – Delete eSign – Share aur Download karne Ke option Bhi Hote Hai.

Digilocker Document’s ko eSign kaise kare?

Document ko Digilocker Me Upload Karne Ke bad Ise eSing Karna Padta Hai. aap Soch Rahe Honge ki Kya eSing Karna Jaruri Hai? eSing Se Kuchh fayada Hota Hai? ” Yes :” Upload Kiye Sabhi Document Ko esing Karne Se documents Authorise ho jate hai fir ham kahi bhi ye sare documents ka use kar sakte hai. Hamare Document Ko Puri Security Milti Hai. Yahan Aapko Document eSing Karne Ka tarika Bataya hai.

digilocker ko esing kaise kare

  • Document Ke Samane eSing Ka Option Hai Ise Click kare.
  • Ab Aapke Mobile Me OTP Aayega Ise Enter kare.
  • Aapka Document e-Sing Ho Jayega.

Note : Agar Aapane Aadhaar Card Ko digilocker Se Link Nahi Kiya hai To eSing Nahi kar Payenge.

Digilocker Document’s ko Share kaise kare

Documet ko eSing Karne Ke Bad Aap Ise Share kar sakte Hai. Apane Friends – Family ya Fir Job Ke Liye Ahgar Share karne Ki Jarurat pade to Is Step Ko Follow Kare. Kisi Government Job – Work ke liye Share Kar Sakate Hai. Share karke Aap Print Bhi Le Sakate Hai.

  • Upar Images Me Aapko Share ka Option Bataya hai Ise Click kare.
  • Popup Box Open Hoga Isame jise Bhi Share karna Hai Isaka email Dale.
  • Ya Fir Aapka Email Dal Ke Bhi Maile Me Le Sakate Hai.
  • Email Enter karke Send Par Click kar De.

Digilocker Registration me Aap Account Ko Aadhar Se Link Kar Dete Hai But Agar Aadhar Number Bad Me Mila Hai aur Aap ise Link karna Chahte Hai to Ye Step Follow Kare.

  • sabse pahle Apane Account Me Login Karke Dashboard Par Jaye.
  • Vahan Agar Aadhaar Number link Nahi Hai to Dikahi Dega.

digilocker ko aadhaar se link kare

  • Go Here Par Click kare.
  • Dusara Page Open Hoga. Isame Aapka Aadhaar Number Add kare.
  • Aapke Mobile Par OTP Aayega. OTP Ko enter Karke Verify Kar Le.
  • Aapka Account Aadhaar Number Se Link Ho Jayega.
  • digilocker Profile Me Apki Sabhi details Dikhai Degi.

Extra Inning :

Is Article Me Aapko Digilocker Registration Karne Ka Tarika Bata Diya Hai. Aap Ise Follow Karke Aasani Se Digilocker Account Create Kar Payenge. Sath Me Aapko Document Upload Karne Ka Tarika. esign Karna Aur Digilocker  Document Ko Share karne Ke Bare Me Bhi Bata Diya Hai. Digilocker ke Fayade Bhi Aap Samaj Chuke Honge.

Isake Alava  digilocker application  Download , digilocker app for iphone, digilocker forgot password, Username  Change, Problem For Upload Document, Aadhar Se Link Karna, Password Example  Ke Bare Me Koi Saval hai to Hame Comment Me Jarur bataye.

digilocker registration process Ko Padhane ke Liye – Follow Karne Ke Liye Thanks.

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

1 comment

  • Rohan

    Hey
    Very great informative post .
    Thanks for sharing

Leave a Reply