Aadhar Card Kya Hota Hai ? Benefits Hindi Me

-

jab bhi hame Apani Pahchan ( identity ) batani hoti hai to Koi proof Jaruri Hota hai. Koi bhi form bharna Ho to identity proof ke Liye pan card, driving license, voter card ki jarurat hoti hai. aaj ham Aise hi ek identity card – Aadhar Card – Ke bare Me janenge,

New Bank Account open karna Ho ya fir naya sim card lena ho to hame Koi Proof Dena padta hai. competitive exam ka form bharna ho ya Fir online railway ticket booking karna ho, hame hamari pahchan ke Liye kai proof jaruri hote hai. ham india ke nagrik hai wo dikhane ke liye identity proof ki jarurat hoti hai. tab hame jo documents ki jarurat hoti hai wo sabhi document ka 1 card yani Aadhar card .

Sefty Tips : Net Banking Safety kaise Rakhe ? 10 Security Tips Hindi

Aadhar card ka main target hamare sabhi document ko one card ke sath link karne ka Hai. 1 card me hamare sabhi document add kiye jate hai. fayada ye hota hai ki hame Koi bhi kam ke Liye jyada Proof provide nahi Karne padte hai. kisi bhi kam Ke liye hamara 1 Aadhar Card Kafi Mana jata hai.

Aadhar Card Kya Hota Hai

Pan card, driving license aur voter card me Kisi Person ka Name aur usake ghar – home Ka Pata ( address ) Diya Hota hai. ye Sabhi card 1 Id proof ki tarah Mane Jate hai. but, in sabhi card ke alava bhi 1 card hai Jisako Aap kisi bhi form ko submit karte vakt Istemal kar Sakte hai. aur Vo card hai , Aadhar Card .

Aadhar Card kya hai ?

agar aap soch rahe Hai ki aadhar card kya hai ? kaisa hota hai ? kaise milta Hai ? isame kya document Add kiye hote Hai ? kaha valid hai ? to ye Article me Aapko Sab kuchh bataya gaya hai .

  • Useful Article : ATM Card kho Jane pe kya Kare ? Lost ATM Safety Tips
  • Aadhar-Card ek unique identification number hai Government of India ne indian ke Liye nayi yojana ke tahat shuru Kiya hai. wo card Sabhi Indian ( bhartiy0 ) ko Apani Pahchan Dilayega. is Yojana ki Jimmedari Unique Identification Authority of India(UDAI) di Gayi hai. Jidaka Kam Aadhar card numbers aur Aadhar identification cards ko sambhalna hai.
  • Aadhar-Card 12-digit ka unique identification number hai.
  • ye India ke Sabhi Age ke logo ko Provide Kiya jata Hai.
  • is Card me Aapke Sabhi Document Ko Add kiya Jata hai.
  • Card Me Home Address aur Khud Ka Photo Hota Hai.
  • Finger prints aur Eyeball ( आँख की पुतली ) scan karke Add ki Jati hai.
  • Aadar-card me Passport, PAN Card, Ration/ PDS Photo Card, Voter ID Card ko add kiya jata hai.
  • Isake alava Driving License, NREGS Job Card,  Bank ATM Card ko bhi Aadhar Card Se link kiya jata hai.

Aadhar Card Ke Fayde : Benefits Of Aadhar Card

  1. government kai schemes ko Aadar card Se jod rahi hai. ab Subsidies any sahayta ke Labh Aadar Se Jude bank Account me transfer kiye Jate Hai.
  2. Aadhar-card Se bank Account open Karna Aasan Ho jayega. Aapko Sabhi Document ke liye Sirf Aaddar-card Dene Se Kam Chal jayega.
  3. Pensioners ke liye Focused Digital Life Certificate lunch kiya Gaya Hai. ise Bhi Aadhar Se link kiya jayega. Pension pane ke liye Khud Jane ki jarurat nahi rahegi. Aadhar Se Mil Jayega.
  4. stock market, mutual fund schemes, investor ke Liye Bhi Aadhar Id Proof – Address Proof Mana jayega.
  5. Employees accumulation fund aur PF Account Ke liye Aadhar Ko valid Proof Mana jayega. Isake Liye PF Account Ko Aadhar Se link Karna jaruri hai.
  6. Aapko Sabhi Document Sath Rakhne Ki Jarurat nahi Hai. Ab Aap One Aadar Se Sab kam Kar Payenge.
  7. Aadhar ke Jariye Aap Digital Locker Account bhi open Kar Sakte hai. Document Ko Online Store kar Sakte Hai.
  8. Agar Aap Voter Id  pana Chahte hai to Aadhar Se Simple ho Jayega. Aapko Sir Aadhar provide Kana Padega.
  9. Epic Card – Voter id ko bhi Aadhar Se Link Kiya jayega. Isase Fake voting aur voting Prossec me Sahata milegi.

Extra inning :

  • Aadhar-Card Ek useful Document ( ID Proof ) banne  Ja raha hai. government Sabhi Yojana O ko Aadhar-card Se Link Kar rahi Hai.
  • Agar Aapne Ye Card Nahi Banavaya hai To aaj Hi process  Shuru Kare.
  • Aadhar card Online Bhi Pa Sakte Hai.
  • Isake Alava Aadhar Card Ka Number pata Karna , Online Apply Karna, Status pata Karna, Download Karna , Name Change Karna ye Sab Jankari Aapko HindiHelpGuru website Se mil Jayegi .
  • Ho sakata hai Netx Time Aadhar Card Aur bhi benefits De.
  • HindiHelpguru Facebook Page Like Kare .

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

13 comments

  • saqib khan

    mera adhar card ka address badalna hai aur uske liye jo no adhar card per activ hai wo no band hai to adhar card ka address kaise badle sir
    help us as early as possible
    my contact No 8208839708

  • Udayram Gurjar

    my acount BOB me hai mujhe mobael ke dwara apne acount me apne mobael no ragistar karne hai kese kare apne mobael no. ragistar

  • Suresh

    Sir 4 sal ke bachche ka biomatric me fingers nhi Aate h unka aadhar kese bnaye

    • HindiHelp Guru

      Aadhar Ban Jayega. biometric fingers Bad Me Updates Kar lena.

  • ashok ahir

    Sir kya adhar card se hum kis me job kr rahe hai o pata lag sakta hai kya Agar hum jisme job kr rahe hai usme adhar like ho to. ..

    • HindiHelp Guru

      na aap ye pata aadhar card se nahi laga sakte . kyu ki aadhar card se only kisi person ke document hi link hote hai. job details nahi.

  • Tanuja Singh

    hello sir,mujhe ye janana hai ki aadhar ki suruwat kaise aur kahan se huei…

    • HindiHelp Guru

      Aadhar Card Ki Shuruaat India Me 28 January 2009 se huyi hai.

  • Vinay Kumar

    kya chote baccho ka bhi aadhar card (2 months) banaya ja sakta hai

    • HindiHelp Guru

      nahi Aadhar card ke liye Bachcho ki Umra 1 saal se Jyada Honi Chhiye. kyuki chhoti umra me Biometrics data nahi cliare hota.

      • VIKASH

        GOVT HOSPITAL ME BACHHO KE JANM KE SATH HI AADHAR CARD BANA DIYA JATA HAI

Leave a Reply