11 Tips For Personality Development Hindi me

-

Hum aaye din ye sunte rehte hain aur bade bade advertisements dekhte hai road ke side mein kabhi school ka, institute ke crash courses, Parents hamesha apne bachchhon ki personality ko lekar pareshan rehte hain aur teachers humein remind baar baar remind karati rehti hain. Iska matlab ye bahut zaroori hai. School/ College mein achchhe marks ke saath well-polished personality aapko challenges face karne mein aur aapki success mein help karti hai chahe who school mein ho , college mein, work mein, ya phir aapke relationships. Kuchh log samajhte hain ki achchhi English bolne se aur stylish dikhne se success milti hai. bahut had tak ye baat sahi hai par personality ke aur bhi aspects hote hain jinse aap shine kar sakte hain. Hum aapko batayeinge ki aap outstanding personality kaise paa sakte hain.

Personality Development

1. Know Yourself (Khud Ko Jane)

Sabse pehle aapko khud ko samajhna jaruri hai. Aapko khud pe dhyaan dena hoga, khud ko analyze karna hoga. Aapko apni strengths aur weaknesses pehchaanni hongi, aur fir inpe kaam karna hoga.

2. Bring Positivity In Your Outlook (Apne Looks Pe Positivity Laaiye)

Attractive personality paane ke liye, aapki soch, aur aapke outlook, dono ko hi positive hona jaruri hai. Hum kaisa sochte hain, isse humare actions pe farak padta hai. Agar aapki thinking hi positive hai, to aapme confidence aa jayega, aur isse aapki personality pe accha impact aayega.

3. Confident Body Language Ka Use Karein

Body language se humari personality ke baare bahut kuchh pata chalta hai. Humare Face ke expressions, body and haathon ke gestures jinse hum apni feelings ko dikha paate hain. Agar aap smile kar rahe hain to doosra person samjhega ki aap friendly person hain.

4. Pehle Suniye Phir Boliye

Jab hum baat karte hain to apni baat jaldi se kehna chahte hain. Lakin jo log achchhi conversation karte hain woh pehle aapki baat suntey hain. Aur woh sirf aapki baat suntey hi nahi balki samajhte bhi hain. Suniye ki person kya batana chah raha hai aur usse open-questions kariye taki aapko aur information mil sake.

5. Have An Opinion (Hamesha Apni Khud Ki Soch Rakhe)

Apni khud ki soch hona, aur use confidently dusro ke saamne rakhna bahut hi jaruri hai. Isse na sirf aapki conversations interesting hoti hain, balki isse aapko log attention dene lagte hain.

6. Meet New People  (Naye Loogon Se Mile)

Naye aur alag nature ke loogon se milna aapke liye bahut accha hai, kyuki isse aap bahut kuch naya seekh sakte hain. Isse aapko dusro ke cultures aur lifestyles ko samanhne ka chance milta hai, aur isse aapki khud ki personality pe positive impact padta hai.

7. Positive Attitude

Hum mein se kuchh log bahut aasaani se negative thinking aur depression mein chale jate hain. Aur isse humein bahut nuksaan kota hai, hum yahi sochte rehte hian ki humari life kitni unhappy hai. Positive attitude humari life mein ek bada change lata hai jisse hum apne baare mein behtar soch paate hain (self-esteem), believe aati hai ki hum kar sakte hain (confidence) chahe jitni bhi mushkilein kyun nah on positive attitude humein sabka samna karne mein help karta hai.

8. Time Ko Manage Karein

work, project, meetings, school assignments aur exams ya phir kisi special occasion par aapko apna time manage karna padega. Kehna bahut aasan hai par kya karein jab bahut saari responsibilities aur tasts manage karne hon? Apne time ko efficiently manage karein

9. Read More Often And Develop New Interests

Jinke interests kam hote hain unke paas baat karne ke liye jyada topics nahi hote. Lekin agar aapke bahut se interests hain to aap ko har cheez ki knowledge hoti hai, aur log aapko pasand karte hain. Aap chup chap baith kar bore hone ki jagah logo se interesting conversation kar sakte hain.

10. Be A Little Fun (Thode Khusmijaj Bane)

Oh yes, this is necessary! Being able to find a humorous side in otherwise terrible situations and bringing a little quirkiness of your own is appreciated by one and all. Everybody loves a person who can make them laugh and bring a funny perspective to the regular things of life.

11. Be Courteous (Vinamra Bane)

Vinamra Banein, Isse Log Aapki Respect Karenge. Humble Banein, Aur Sabse Smile Ke Sath Milein. Dusro Ki Help Karne Me Sharm Na Karein. Acche Kaam Karne Se Na Sirf Dusro Ka Din Banega, Balki Aapki Acchi Image Bhi Banegi.

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

5 comments

  • yasir khan saqlaini

    aapne bahut hi ache tips bataye hain padh kar bahut hi acha feel hua

  • suraj

    Kya jio SIM ka bill aa raha he

    • HindiHelp Guru

      abhi to nahi aa raha, but Postpaid hai to aayega.

  • Dhanraj pillay

    Good for young generation & for all who are working not at a higher level

  • admin

    hello friends

Leave a Reply